Urdu Naat( Dayar e Madinah Gulistan Gulistan)Nusrat Fateh Ali Khan.By Visaal

A Great Urdu Naat e Pak ,Kalam : Abdul Kareem Samr,, A Great Voice Of Pakistan Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal ,,
To Get Updates Via facebook Just Like Our Facebook page / visaaleyaar4u , www.VisaaleYaar.com , / visaaleyaar , ~~~^~~~PEGHAM E MUHABBAT HAI ~ JAHAN TAK PUHNCHAY~~~^~~~ Visaal e Yaar

Пікірлер: 23

  • @rajtheangrydj2711
    @rajtheangrydj27115 жыл бұрын

    nagma e salle allah vird e zubaan rehta hai har ghadi saamne rehmat ka sama rehta hai jab madine ke dar o baam nazar aate hain dil e betaab ko phir hosh kahan rehta hai dayaar e madina gulistaan gulistaan kis darja dil an mez madine ki faza hai har zarra yahan mazhar e anwaar e khuda hai yaad jab mujhko madine ki faza aati hai saans leta hoon to jannat ki hawa aati hai duniya nigah mein hai na ukba nazar mein hai ab toh har ek lamha madina nazar mein hai hoon mazhar e jameel sukoon o karaar ka har zarra keh raha nabi ke dayaar ka shehar e nabi hai markaz e altaaf e rang o noor har ek shai mein jiski tajalli ka hai zahoor har waqt jispe rehmat e parwardigar hai aalam mein woh rasool e khuda ka dayaar hai har shakhs kaamgaar hai har fardishaad hai jo bhi dayaar e paak mein hai ba muraad hai yeh maskane janaab e rasaalat mein aab hai rehmat hai bepanah karam behisab hai yeh dar hai darmande ghareeb o yateem ka hota nahi hai band dar kareem ka dayaar e madina gulistaan gulistaan muattar muattar bahaaran bahaaran madine ke sehra tajalli tajalli madine ke galiyaan khayaaban khayaaban bahisht e nazar sabz gumbad ke jalwe hai roze ki jaali farozan farozan sar ba sar aalam e anwaar nazar aata hai daaman e roza e sarkaar nazar aata hai rukh e mustafa hai tajalli ka mazhar munawwar munawwar darakhshaan darakhshaan falak sar ba sajda zameen sar ba zaanu maho mer o anjum charaagan charaagan

  • @chqayyumanwarajnala3381
    @chqayyumanwarajnala33812 жыл бұрын

    بڑی نایاب ویڈیو ہے جی بہت خوب ماشاء اللہ

  • @syedawaisalibukhari
    @syedawaisalibukhari7 жыл бұрын

    Salawat bar Muhammad s.a.w. O Aal e Muhammad s.a.w

  • @preetiscreativekitchen
    @preetiscreativekitchen4 жыл бұрын

    Koi bhi Nusrat Sahab jaisa nahi ga sakta. Chahe koi bhi ho jo apne aap me bada singer banta ho....

  • @saudqulikhan9782

    @saudqulikhan9782

    Жыл бұрын

    Kya baat kahi hai aapne

  • @aliwajdan78
    @aliwajdan78 Жыл бұрын

    Wow 1976 ki qawali😍 abhi tak suni jarahi ha

  • @kaifkhan3153
    @kaifkhan31532 жыл бұрын

    ماشاءاللہ سبحان الله

  • @gguudduuify
    @gguudduuify2 жыл бұрын

    Mai badnaseeb hu , jise nfak k kadmon ki dhool bhi nhi mil saki😥

  • @user-is9be6wg6l
    @user-is9be6wg6l Жыл бұрын

    Dunya ke saree singer 1 tarf nusrat fateh ali khan sahab 1 tarf tbb bhi muqabala nhi bnnta❤️

  • @gurdevbhogal7744
    @gurdevbhogal77445 жыл бұрын

    A beautiful Kalam performed flawlessley by the greatest - my biggest regret is not seeing them perform live ☹️

  • @chqayyumanwarajnala3381
    @chqayyumanwarajnala33812 жыл бұрын

    بہت خوب جی سبحان اللہ

  • @zishanali1507
    @zishanali15076 жыл бұрын

    behad mithi... subhan allah...

  • @dawoodshaikh9612
    @dawoodshaikh96125 жыл бұрын

    Voice from the Heaven.

  • @jamshaidali13
    @jamshaidali13 Жыл бұрын

    Subhanallah

  • @zianaseerakhtarkharal8857
    @zianaseerakhtarkharal88575 жыл бұрын

    🌹 ماشاء الله بہت زبردست قوالی الله تعالی نصرت فتح علی خان پر رحمت فرمائے آمین

  • @YusufKhan-xy3fr
    @YusufKhan-xy3fr5 жыл бұрын

    Subhan allah beshak. Kya baat hain ustaad ji .masha allah

  • @farazkhanveryverynicetitan3440
    @farazkhanveryverynicetitan34406 жыл бұрын

    Vah ustad vah allah aap ko aala mqam ata kare

  • @ejazahmad9039
    @ejazahmad90395 жыл бұрын

    آہاہا

  • @mdrunubiswas5542
    @mdrunubiswas5542 Жыл бұрын

    ❤❤❤❤❤

  • @gguudduuify
    @gguudduuify2 жыл бұрын

    Nfak with his complete team , rare video 🙏

  • @malikjavediqbal5785
    @malikjavediqbal5785 Жыл бұрын

    ❤❤❤❤

  • @muhammedirtaza4986
    @muhammedirtaza49866 жыл бұрын

    Wow

  • @bmsa2073
    @bmsa2073 Жыл бұрын

    Still 2023 ali moulaad