Farhan Ali Waris |Ayyam_e_hussain | 2019

Hussain.. hussain.. hussain…
Yaa Hussain! Hussain, hussain, hussain, hussain ..(2)
Ayyam e hussain ayyam e hussain.
(1) Chand moharram ka hua hai ayaa’n
ayyam e hussain..
kaale libaso’n mein hai peero jawaa’n
ayyam e hussain..
Chand moharram ka hua hai ayaa’n kaale libaso’n mein hai peero jawaa’n
ghar mein azakhana sajati hai maa haan ye moharram ki hain tayyariya’n
ye bargaah, ye masjide, ye majlise, ibadate hai bolbala aaj bhi hussain teri jeet ka
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
(2) Saja diye gaye alam, bicha diya hai farshe ghum
karam hai bibi sayyeda ke ghar mein aa gaye qadam
Nabi bhi hai, Ali bhi hai, Hasan bhi hai, Hussain bhi ha pursa lene aagayi hai humse aale Mustafa
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(3) Hai wila azaa ka silsila mera halqa e matam hai ilaqa mera
naa kabhi hussain ko bhulaunga Fatima Zehra(sa) se hai wada mera wilayat e Ali rahe, azaa rahe hussain ki ha maqsad e hussain, maqsad e hayaat hai mera
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(4) Majlis e azaa, juloos o taziye jhule, zuljanah, alam ke silsile
jaa ba jaa hussain ki sabeel hai matami chale hai halqa baandh ke gali gali, nagar nagar, sabhi hai aazime safar rawa’n dawa’n hai karbala ke simt kitne qafle
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(5) Ya rab meri soyi hui taqdeer jaga de
aankhein mujhe di hai to karbala bhi dikha de
is saal arbaeen pe paidal karu safar ya rab mujhe hussain ka zawwar bana de
Kya hua jo mai bahot ghareeb hoon apne maula ke to mai qareeb hoon saal bhar namak se roti khaunga phir bhi karbala zaroor jaunga
wo din kabhi to aayega, wo karbala bulayega hussain apne ashiqo’n ka dil nahi hai todta
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(6) Karodo log tere ishq mein safar pe chal diye
najaf se karbala ki samt ye peyada qafle
qadam qadam, liye alam, safar mein hai, ye ehle ghum nigaah sue karbala, labo’n pe sab ke ek sadaa dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(7) Jaha’n jaha’n uthi nazar hussain hi hussain hai
gali gali, nagar nagar hussain hi hussain hai
haa dekhlo karodo sar hussain hi hussain hai
zamee’n se dekho arsh par hussain hi hussain hai
husainiyo ka raahbar hussain hi hussain hai
jaha’n mein har zabaan par hussain hi hussain hai..(2) Hussain.. hussain…
Ghume hussain mein jo ashkbaar hota hai
kisi bhi mulk se ho usse pyaar hota hai
na rang o nasl na mazhab ki koi qaid yaha’n
sabhi ka za’ereen mein shumar hota hai
Marhaba chehlum e shabbir manane wale
goshe goshe se chale aate hai aane wale
mehwe hairat hai umayya ke gharane wale
keh rahe hai ye zamane se zamane wale,zamane wale shart e mazhab nahi jisme wo idara hai hussain
aaj har qaum ye kehti hai hamara hai hussain..(3)
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(8) Hussain tu ne maslako ke fasle mita diye
alam kisi ne aur kisi ne taziye saja diye
jo kalma goh nahi hai wo bhi tere darr pe agaye
har aadmi ke waste hai tera darr khula hua
dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
(9) Hussain.. Hussain.. Tere chehlum ke liye, tere matam ke liye..(2)
aagaye karbobala, ye tere ehle azaa baland haath fazao’n mein aur labo’n pe buka Hussain.. hussain.. Matami ki hai sada rahe ayyam e hussain
karbala aaye sadaa rahe ayyam e hussain
chahta hai ye Khuda rahe ayyam e hussain
Sayyeda ki hai dua rahe ayyam e hussain
gir ke ye mazhar o farhan ne sajde mein kaha
Hussain.. hussain.. dil mein hussain, hussain jaa’n mein hussain, hussain ayyam e hussain, ayyam e hussain Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4) Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
Reciter : Janab Farhan Ali Waris
#noha2024 #fahranaliwaris #aajchuphogaifatima #manqabatkhuwan #naat2024 #noha #viral #13rajabmanqabat2024 #21ramzan

Пікірлер: 1

  • @syedfakhar1704
    @syedfakhar170411 күн бұрын

    Mashallah