Bolero City Pik-Up Review Hindi 2022 BS6 महिंद्रा बोलेरो पिक अप BSVI पिकअप

Автокөліктер мен көлік құралдары

Website Link : www.mahindraboleropickup.com/...
#bolerocitypickup
Bolero ki Pick-up Range, aaj market ki sab-se lokpriy commercial vehicle range saabit ho chuki hai, jiska mukabala koi bhi aur brand nahi kar paai hai. Bolero Pick-up Range mein aapko kai-saare models milte hain jo alag-alag wheelbase, load-body ki size aur payload ke paryaay mein uplabdh hain. Bolero ‘City’ Pick-up model, iss range ka ‘medium’ aakaar aur payload wala paryaay hain. Ye model Mahindra-ne, san do-hazaar unnis mein hi dakshin Bharatiy market mein launch kiya tha, jahan par grahakon ne uska performance behad pasand kiya hai.
Payload:
Bolero Pick-up range mein hazaar kilo-se le-kar satra-sau kilo tak payload waale variants uplabdh hain. Unmein se Bolero ‘City’ Pick-up ka payload hain pandra-sau-kilo. Lekin dosto, kewal brochure mein likhe hue payload se, gaadi ki, maal-dhone ki kshamata ka andaaza, kabhi mat lagaana, ye toh sirf rated-payload hain - yane ke ‘official’ payload. Lekin sacchai toh ye hain, ke vaastav mein adhik-tar pick-up segment ki gaadiyon pe do-dhai ton se jyada maal dhoya jaata hain. Toh gaadi kitni asaani se overload kheech sakti hain ye uske engine-size pe, uske torque-pe aur sab-se jaroori wah kis r.p.m. pe peak-torque de rahi hain, ispe nirbhar karta hai. Aur iss maamle mein Bolero ‘City’ Pick-up apne pratispardhiyon ke chakke-chuda deti hain. Kyonki Bolero City-pick-up ka engine, dhai hazaar cc ka hain, aur usmein one-ninety-five Nm ka damdaar peak-torque uplabdh hain aur wo bhi kewal chauda-sau r.p.m. se milta hain. Isliye Bolero City Pick-up ki payload dhone ki kshamata behat shreshth hain. Khaas kar Flyover chadte waqt ya phir ghaat chadte waqt aap ko dono mein zameen-aasmaan ka fark mehsoos hoga. Rahi baat pratispardhiyon-ki toh unke baare mein hum aap ko aage batayenge.
Pratispardhiyon ka Payload:
Overloading ki kshamata dekhi jaaye, toh iske baaki pratispardhiyon mein jyada se jyada do-swa-do-ton tak hi loading mumkin hoti hai lekin Bolero City pick-up aapke liye teen-ton-tak ki loading mumkin karata hai. Agar aap Mahindra ke LCV truck ki Bolero City Pick-up ke se tulna karenge toh aap dekh paayenge ki Bolero City Pick-up ke hi engine se Mahindra ka khud ka LCV truck aaj paanch ton ka GVW khich raha hain. Ab Bolero City Pick-up mein teen-ton maal bhar diya toh uska GVW hoga four point seven ton, jo uske dhai hazaar cc engine ke liye koi badi baat nahin! Lekin kuch pratispardhiyon ke, piddu-se, ded-litre yane ke hazaar cc chote engine, teen ton payload kheechte kheechte khadak jaate hain..
Mileage:
Bolero City Pick-up ka company-claimed mileage hain satrah dashamlav do kilometre prati litre. Humare vishleshan ke dauraan usne sola- k.m.p.l. ka lajawaab mileage diya tha. Khaas kar jab overload rehta hain tab Bolero City Pick-up apna mileage banaye rakhta hain. Wohin baaki dusre trucks main humne hamesha yahi dekha hain, ke wah jab underload rehte hain, tabhi acha mileage de paate hain, jara-sa bhi overload kar-diya toh unke mileage ki band baj jaati hain. Do ton ke oopar toh unka mileage das-k.p.l. ke neeche chala jaata hain. Toh dosto gaadi lete waqt hamesha uchit power waali gaadi hi chunana, tabhi hoga aap ko jabardast profit aur hogi aap ki bharpoor tarakki!
Loading ki Kshamata:
Bolero Pick-up ki Range mein sade-saat-foot se le kar nine-point-one feet tak lambi load-body ke paryaay uplabdh hain, jismein ‘City’ model ke load deck ki lambai hain eight-point-seven-feet, lekin lamba loading deck hone ke bawajood gaadi ki lambai sola foot ke andar hain. Iska matlab teen-ton tak load dhone waali isse compact gaadi aap ko poore market mein nahin milne waali. Shehri traffic mein aur patli galliyon mein maal deliver karte waqt, ye kitne bade-faayde ki baat hain, ye toh aap janate hi hain. Mahindra ne City pick-up ke bonnet ki lambai jitni-ho-sake, utni ghatayi hain. Iska doosra faayda ye hua hain, ke chalak ki front visibility bahut sudhar gayi hain, jisse traffic mein gaadi kaatna aur bhi asaan ho gaya hain. Aur yahan par baat katam nahi hoti, kyonki Mahindra ne City pick-up mein chaude, do-sau-pandrah mm width ke tyre diye hain, aur suspension mein bhi kaafi sudhaarna ki hain, jisse ye ‘City’ naam ka pick-up grameen sadkon par athwa kacche-raston ko bhi asaani se langh sakta hain. Rahi baat iske pratispardhiyon ki, toh unki load body bhi Bolero-city-pick-up jitni hi lambi hain, lekin unka suspension Bolero City Pick-up jitna majboot bhi nahi hai aur unpe Bolero City Pick-up jaisa overload bhi karna namumkin hain, ye baat kabhi mat bhoolna dosto.
Warranty:
Bolero City-pick-up mein Mahindra ne teen-saal athwa ek laakh kilometre ki warranty di hain. Ek shreni neeche ki gaadiyaan dekhenge toh Dost plus mein bilkul Bolero City Pick-up jitni hi warranty milti hain aur baaki dusri brands mein toh agar aap dekhenge toh kuch models pe wah kewal do-saal aur bahattar hazaar kilometre ki hi warranty de rahe hai.
#collab

Пікірлер: 32

  • @azmathali4897
    @azmathali48972 жыл бұрын

    I am a big fan of your channel

  • @azmathali4897
    @azmathali48972 жыл бұрын

    Your videos are so informative please make regular videos.

  • @AshokYadav-db6zu
    @AshokYadav-db6zu2 жыл бұрын

    Nice video and best pikup

  • @ashwan3100
    @ashwan31002 жыл бұрын

    Good

  • @Boleropickupbsoffroadvlog
    @Boleropickupbsoffroadvlog2 жыл бұрын

    Mahindra Bolero pickup AC 1.3 full review video

  • @solankidharmendrasings5546
    @solankidharmendrasings55462 жыл бұрын

    Gujarat mein kab launch ho rahi hai

  • @santoshdhyani9440
    @santoshdhyani94402 жыл бұрын

    Bhopal Madhya Pradesh kab ayegi sar

  • @dilipbharwad3887
    @dilipbharwad38872 жыл бұрын

    Ahmedabad me kab aayegi

  • @rahulwaghirepatil5996
    @rahulwaghirepatil59962 жыл бұрын

    Bolero City pickup vs Bolero maxitruck video karo

  • @sohelsheikh530
    @sohelsheikh5302 жыл бұрын

    Pickup 1.3 ka review karo

  • @deepaksahu1408
    @deepaksahu14082 жыл бұрын

    महिंद्रा बोलेरो पिकअप 1°7 vs टाटा योद्धा 1700 kg फुल कंपैरिजन वीडियो न्यू वीडियो बनाओ

  • @Rizwan78652
    @Rizwan786522 жыл бұрын

    Up me aa gai kaya

  • @nawab1764
    @nawab17642 жыл бұрын

    Bolero City pickup1.5t versus Bolero pickupFB 1,5t

  • @ravibavane3167
    @ravibavane31672 жыл бұрын

    Tata acs maga xl 2017 km125000 kitne mein Lena Sahi hoga. Gadi ठीक-ठाक condition mein

  • @manjoorali190
    @manjoorali1902 жыл бұрын

    सर बड़ा दोस्त अशोक लीलैंड पर रिव्यू दे

  • @sonukumarsonumar7755
    @sonukumarsonumar7755 Жыл бұрын

    Kis rajya pickup milega hai use Raj ka naam bataiye main Uttar Pradesh se hun

  • @bharatjain7429
    @bharatjain74292 жыл бұрын

    Rajsthan m ek lunch hoga city pickup

  • @heart8436
    @heart8436 Жыл бұрын

    1.5 city pickup mp me kab launch hogi

  • @OverloadIndia

    @OverloadIndia

    Жыл бұрын

    Sirji bada dost isse har maamle mein behtar hain, din bhar gaye ab bolero ke

  • @heart8436

    @heart8436

    Жыл бұрын

    @@OverloadIndia I love bolero pickup

  • @akashnamdeo443
    @akashnamdeo4439 ай бұрын

    Hii

  • @akbosseditz1451
    @akbosseditz14512 жыл бұрын

    Bolero city pickup vs yodha bs6

  • @shakeelshaikh1008
    @shakeelshaikh1008 Жыл бұрын

    सर जी ईसमे DEF भरना है क्या ?

  • @OverloadIndia

    @OverloadIndia

    Жыл бұрын

    jee haan

  • @darshansonawane3539
    @darshansonawane3539 Жыл бұрын

    City pickup Vs intra v50

  • @shaikhaatiq7611
    @shaikhaatiq76112 жыл бұрын

    Ashok Leyland bada dost Mahindra pickup ki tulna

  • @k.sureshkumar3127
    @k.sureshkumar3127 Жыл бұрын

    My vehicle City King bs6 4600 km engine check problem

  • @ravijadhav9429

    @ravijadhav9429

    Жыл бұрын

    कृपया बताये यha गाडी ज्यादा मेंटेनन्स दे रही है क्या मुझे मुझे भी लेना है लू यां ना लu कृपया बताये

  • @shaikhaatiq7611
    @shaikhaatiq76112 жыл бұрын

    Ashok Leyland bada dost Mahindra pickup tulna

  • @azharkadri876
    @azharkadri8762 жыл бұрын

    Aap tho ek ki hi tarif kar rahe hai Tata intrav30 Tata youdh01,7 Ashok Leyland 1,5 Main khud intrav30 me 4ton lod kar chuka hun who bhi 700km Tata never give up

  • @amitgupta-zo4ix
    @amitgupta-zo4ix Жыл бұрын

    Uttar Pradesh m kab tak ayegi

  • @OverloadIndia

    @OverloadIndia

    Жыл бұрын

    already available hain sirji

Келесі