Tata Ultra T7 Vs Eicher Pro 2075 हिंदी टाटा अल्ट्रा टी7 बनाम आयशर प्रो 2075 BS6

Автокөліктер мен көлік құралдары

1. Toh shuruwaat karte hain dono gaadiyon ki Keemat se:
Doston, Tata ki T-sevel Ultra, Eicher-ki bees-pichattar-se lagbhag pachaas-hazaar-rupay sasti hain. Agar dono gaadiyon pe do-laakh rupay ki down payment ki jaaye, toh Ultra T-seven ke liye aap ko har mahine chautees-hazaar rupay ke kishte dene padenge, jabki Eicher-ke liye paintees-hazaar rupay, matlab Ultra T-seven aap ke har mahine ek-hazaar rupay bachayegi. Lekin yahan keemat ke alava in dono gaadiyon mein kya fark hain? Chaliye aage dekhte hain..
Tata T.7 Ultra Price ₹17.2 to ₹18.9 Lakh (for 18 Lakh, EMI = 34,000, for down payment of 2 Lakh)
Pro 2075 Price ₹17.2 to 19.7 Lakh (for 18.5 Lakh, EMI = 35,000, for down payment of 2 Lakh)
*all prices Ex showroom Delhi
2. Doston, doosra sab-se mahatwapoorn mudda hain inn gaadiyon ka Payload:
Ultra T-seven ke, bees-foot-lambe-daale-waale, model-ka-Payload, yane ke loading-ke-kshamata-ki, 'sarkaar-maanya-anumati' hain teen-hazaar-saat-sau-kilo, jo Eicher-se lagbhag ded-sau-kilo jyada hain! Ab maan lo aap ki aap ko mahine bhar ka Spare-parts dhowne ka contract milta hain, jo Eicher ki gaadi ke liye ded-laakh-rupay-bhaada de rahe hain, toh wohi Ultra T-seven ke liye chaar pratishat jyada - yane ke ek-laakh chappan hazaar bhaada denge, jo bahut bada fark nahi. Lekin agar aap satrah-foot-lambe daale-waala models ki tulana karoge toh Ultra mein aap ko chaar-payyon wala paryaay milta hain, jabki Eicher mein kewal che-payyon waala. Un dono ke loading-anumati-mein teen-sau kilo ka fark hain. Ab iska mahine bhar ke bhaade ka hisaab lagaya jaaye, toh Ultra aap ko, satrah-foot-daale-waali-Eicher-se lagbhag bara-hazaar rupay jyada bhaada dila sakti hain. Lekin iske alava bhi ek mahatwapoorn mudda abhi dekhna baaki hain, jo hain dono Trucks ke engine ka fark. Chaliye dekhte hain kya hain wah fark..
20 to 21 feet Deck Length:
Tata T.7 Ultra Payload (for 20.2 feet deck length, 6-tyre model): HD - 3.692 ton source
Eicher Pro 2075 Payload (for 20.1 feet deck length, 6-tyre model): HSD - 3.544 ton source
Other Deck Lengths:
Tata T.7 Ultra Payload (for 12 feet deck length, 4-tyre model): HD - 4.36 ton
Tata T.7 Ultra Payload (for 14 feet deck length, 4-tyre model): HD - 4.31 ton
Tata T.7 Ultra Payload (for 14 feet deck length, 6-tyre model): HD - 4.11 ton* as per deltas of T.9 Ultra
Tata T.7 Ultra Payload (for 17.1 feet deck length, 4-tyre model): HD - 4.13 ton* as per deltas of T.9 Ultra
Tata T.7 Ultra Payload (for 17.1 feet deck length, 6-tyre model): HD - 3.93 ton* as per deltas of T.9 Ultra
Eicher Pro 2075 Payload (for 12.2 feet deck length, 6-tyre model): HSD - 4.166 ton*
Eicher Pro 2075 Payload (for 14.2 feet deck length, 6-tyre model): HSD - 3.916 ton source
Eicher Pro 2075 Payload (for 16.2 feet deck length, 6-tyre model): HSD - 3.82 ton*
Eicher Pro 2075 Payload (for 17.6 feet deck length, 6-tyre model): HSD - 3.769 ton source
Load Body Dimensions:
Tata T.7 Ultra Load Body (3310 mm Wheelbase): Length - 3670 mm (12 feet), Width - 1955 mm (6.4 feet)
Tata T.7 Ultra Load Body (3550 mm Wheelbase): Length - 4285 mm (14 feet), Width - 1995 mm (6.4 feet)
Tata T.7 Ultra Load Body (3920 mm Wheelbase): Length - 5200 mm (17.1 feet), Width - 1955 mm (6.4 feet)
Tata T.7 Ultra Load Body (4530 mm Wheelbase): Length - 6170 mm (20.2 feet), Width - 2000 mm (6.6 feet)
Eicher Pro 2075 Load Body (2935 mm Wheelbase): Length - 3705 mm (12.2 feet), Width - 2002 mm (6.6 feet)
Eicher Pro 2075 Load Body (3370 mm Wheelbase): Length - 4327 mm (14.2 feet), Width - 2002 mm (6.6 feet)
Eicher Pro 2075 Load Body (3770 mm Wheelbase): Length - 4941 mm (16.2 feet), Width - 2002 mm (6.6 feet)
Eicher Pro 2075 Load Body (3970 mm Wheelbase): Length - 5355 mm (17.6 feet), Width - 2002 mm (6.6 feet)
Eicher Pro 2075 Load Body (4420 mm Wheelbase): Length - 6113 mm (20.1 feet), Width - 2002 mm (6.6 feet)
3. Pick-up:
Doston, dono trucks ke engine mein zameen aasmaan ka fark hain. Tata mein aap ko milega, wohin-puraana three-liter engine jo Sumo Gold mein aata tha, yaad hain. Doosri aur aap ko Eicher mein milta hain teen-hazaar-cc ka aadhunik engine, jo kewal dhai-saal pehle launch hua hain. Mana ke dono trucks ka engine aakar mein ek-jaise hain, lekin power ke maamle mein Eicher ka engine Tata se pacchis-hp jyada shaktishaali hain. Itna hi nahi, uska torque bhi Tata-se poore pachaas Nm behtar hain. Phir Ultra ki Gradeability - matlab chadhai chadne ki kabiliyat Eicher se dhai-pratishat behtar kaise? Iski wajah hain Tata ka 'short-gearing'. Jo gearbox-ke-reduction ko badha-ke payyon ko behtar torque pahunchata hain. Lekin iske kaaran Tata ka engine, Eicher ke mukaable kaafi high-r.p.m. pe daudta hain. Aur isse Tata ka ek bada nuksaan hota hain. Kaunsa? Chaliye aage dekhte hain..
Tata T.7 Ultra Gradeability: 33.5% (deeper RAR is necessary)
Eicher Pro 2075 Gradeability: 31%
Tata T.7 Ultra Torque-to-Weight Ratio with Rated Load: 41
Eicher 2075 Diesel Torque-to-Weight Ratio with Rated Load : 46.7

Пікірлер: 5

  • @vishalgaikwad3061
    @vishalgaikwad3061 Жыл бұрын

    Nice

  • @OverloadIndia

    @OverloadIndia

    Жыл бұрын

    dhanyawaad Sirji

  • @rakeshguha1308
    @rakeshguha1308 Жыл бұрын

    TATA 1212 LPK Vs ASHOKLEYLAND ECOMENT 1015 Tipper

  • @govindchauhan5603
    @govindchauhan5603 Жыл бұрын

    Mahindra maxx vs pickup 1.3 comparison

  • @OverloadIndia

    @OverloadIndia

    Жыл бұрын

    Ok coming soon Sirji

Келесі