Sabri Brothers - (Full) Ho Ke Rooposh Na Dil Tod Tamannai Ka - Kalam Hz Bedam Shah Warsi RA

Музыка

This is the full version of "Ho Ke Roo-posh Na Dil Tod Tamannai Ka" by Haji Ghulam Farid Sabri & Maqbool Ahmed Sabri ( Kalam of Hazrat Bedam Shah Warsi RA ). I've uploaded the same qawwali at this link ( • Sabri Brothers (Audio)... ) sometime back but it was incomplete and missed out the most beautiful part where the refrain "Uthade Rukh Se Parda" is repeated a number of times in a span of about 5 minutes.
As many friends have earlier requested for the full version and most recently on the request of Mr. Raj Asthana, I'm uploading the full version now. Hope the listeners who can feel and experience the magic of Sabri Brothers will enjoy this qawwali greatly.
This qawwali was recorded by All India Radio (AIR) during the Sabri Brothers' tour of India in 1988.
Lyrics:
Saheefa shaan e qudrat ka, tajalli roo e jaana ki
Kitab e husn ka maine yehi unwaan rakha hai
Woh donon kohniyan teike hein hai aur chehra hai haathon par
Koyi dekhe to samjhe ke rehal pe quraan rakha hai
Tere deedar ki hasrat mein hai sab dilwale
Ab to muh khol de woh parda e mehmilwaale
Ho ke roo-posh na dil tod tamannai ka
Hausla past na kar apne tu shaidai ka
Riwayat main abhi bhoola nahi Mansoor o Sarmad ki
Laga rakha hai seene se tamanna e shahadat ko
Khabar kya thi ke nad e jaan hai qeemat ek ishaare ki
Taras kar reh gayi hain meri aankhen teri soorat ko
Uthade rukh se parda ye sar e zeeshaan haazir hai
Yeh dil haazir hai, main haazir hoon, meri jaan haazir hai
Mujhe manzoor hai sar mera zeb e daar hojaye
Magar itni tamanna hai tera deedar hojaye
Uthade rukh se parda ye sar e zeeshan haazir hai
Bala se kuch bhi hojaye, tera deedar hojaye
Uthade rukh se parda ye sar e zeeshan haazir hai
Aaye hain tere dar pe toh kuch leke jaayenge
Warna iss aastan pe hum jaan deke jaayenge
Uthade rukh se parda
Uthade rukh se parda ye sar e zeeshaan haazir hai
Sarapa shauq bankar husn e pur-anwaar dekhenge
Mujassam dard bankar lazzat e aazar dekhenge
Nazar ka hausla dekhenge, dil ka pyar dekhenge
Mita kar raunaq e hasti tera deedar dekhenge
Fanaa-fillah hokar hum jamaal e yaar dekhenge
Uthaade rukh se parda ye sar e zeeshan haazir hai
Main haazir hoon, yeh dil haazir hai, meri jaan haazir hai
Hum bhi baandhenge tere ishq mein ehraam e junoon
(Hum ne baandha hai tere ishq mein ehraam e junoon)
Hum bhi dekhenge tamasha teri lailaai ka
(Hum ne dekha hai tamasha teri lailaai ka)
Hazrat e ishq ne kya kya sitam ijad kiye
Bastiyan phoonk di, ghar sainkdon barbaad kiye
Qais bechare ko maara hai isi hazrat ne
Aag paani mein lagadete hain, ye woh jadugar hai
Jisko dekha usi ko ishq mein jalte dekha
Mom kya cheez hai patthar ko pighalte dekha
Tere wahshi ka ajab naqsha badalte dekha
Purze daaman ke kiye aur ye kehte dekha
Hum ne baandha hai tere ishq mein ehraam e junoon
Hum ne dekha hai tamasha teri lailaai ka
Khuda wahshat mein barkat de, salaamat rakhe imaan ko
Main Bismillah kehkar chaak karta hoon gareban ko
Jeete jee sar na uthe yaar ke dar se 'Bedam'
Ke maza hai isi chaukhat pe jabhasaai ka
Disclaimer: No monetary benefits are intended from any videos on this channel. This channel is only meant to acquaint the listeners with rare or hard-to-find renditions of Sabri Brothers.
For more information on Sabri Brothers and Maqbool Sabri please visit maqboolsabri.wordpress.com
If anyone wants to contact me, please write to me at my gmail id flowerofeden2296

Пікірлер: 17

  • @arifhusain5797
    @arifhusain5797Күн бұрын

    MashaAllah

  • @anupagarwal9943
    @anupagarwal9943 Жыл бұрын

    Though not much popular, this is by far one of the best by Sabri Bros. My uncle had often met these brothers during their programs in Delhi and till this day he fondly cherishes their qawwali recordings of which he has in great numbers in his music collection.

  • @FlowerofEden

    @FlowerofEden

    Жыл бұрын

    Thanks for your comment. Does your uncle still have those recordings?

  • @zafarkhan4133
    @zafarkhan4133 Жыл бұрын

    MashaAllah MashaAllah SubhanAllah

  • @musablali
    @musablali2 жыл бұрын

    Thank you very much, the performance is exquisite. From the sazeena to the takraars, it's wonderful.

  • @FlowerofEden

    @FlowerofEden

    2 жыл бұрын

    Yes it's a wonderful performance. May be not all will agree, but I always feel that their radio/tv recordings are far greater high level performances than their studio recordings or live concerts.

  • @lochansinghbrar6239
    @lochansinghbrar62392 жыл бұрын

    Oy hoy hoy truly sublime; shandaar. I frequently listen to this one. Sabri bros ke jesa koi nahi, jab bhi sunta hun dil khush hojata hai.

  • @FlowerofEden

    @FlowerofEden

    2 жыл бұрын

    Bilkul unke awazon mein hi kuch aisi baat hai ke sunke dil khush ho jaata hai. Sirji kaise hain aap? sab khairiyat? maloom hi nahi tha ke aapke paas ye kalam pehle se maujood hai, warna aasani se mujhe aap hi se mil jaata.

  • @lochansinghbrar6239

    @lochansinghbrar6239

    2 жыл бұрын

    @@FlowerofEden Main theek aur shad hun beta. Reply dekhlena, sent just now.

  • @JusticeMustPrevail.
    @JusticeMustPrevail.2 жыл бұрын

    MaashaAllah.

  • @aamirmughal8893
    @aamirmughal88932 жыл бұрын

    Wah.. Subhan allah

  • @abdulhameedpatel528
    @abdulhameedpatel5282 жыл бұрын

    Thanks for uploading this. Please make a English translation of this qawwali.

  • @mohammadmujahidali5913
    @mohammadmujahidali5913 Жыл бұрын

    apse guzarish hai please upload Aaj rang hai ri (Inna fi Qatle ahe) version or Khwaja e man qibla e man

  • @rajasthana5648
    @rajasthana56482 жыл бұрын

    Thank you so very much for uploading full qawwali on my request and I am very happy to see my name in description. I did not imagine this good and prompt response from you. Thank you also for the audio you sent and this presentation is awesome along with subtitles. Nice and well done.

  • @FlowerofEden

    @FlowerofEden

    2 жыл бұрын

    That's my pleasure. Actually I should have uploaded full version much earlier but I forgot. It was only when you requested that I remembered. I'm happy that you liked it so much.

  • @muhammad199
    @muhammad1992 жыл бұрын

    What raag is this being sang in?

  • @FlowerofEden

    @FlowerofEden

    2 жыл бұрын

    I do not have proper idea about raags. Will let you know soon

Келесі