Provide a Home For Women| Kya ye Zaroori hai| Long Distance Relationship | Muhammad Ali & Asiya Mam

Husband Out of Country ho to Wife kya kare
Husband Bahar Mulk me Rahte ho to Wife kya kare
Provide a Home For Women
Meaning Full Bayan
Life Changing Bayan
Long distance relationship
Husband Ki Responsibility
Wife ko Alag rakhe ya Sasural me ya Apne Paas Rakhe
Bahar Rahne wale Shauhar ki Biwi ko log Naukrani samajhte h
Women's issues after Marriage
Islamic Bayan on Husband Responsibility
Islamic Bayan on Mulk se bahar Rahne wale Husband
Speaker -Muhammad Ali Sir
Kaisser Ahmad Raza Sir
Miss Asiya Madni
#lifechangingbayan #husbandwife #longdistancerelationship #huqook
#muhammadalispeaks #miyabiwi#islamicbayan #jointfamilysystem #sasuraal#islamickhwateen #independentwoman #longdistancerelationship

Пікірлер: 105

  • @sadiashahid8406
    @sadiashahid84064 ай бұрын

    Ap bilkul sahi khrahi hy mery sat aisa hi hua ta mery susral waly ye hi chahty ty mery husbnd ki mulk se bahr job ti or mery susral waly mujhy nokar bna kr rakha ta boht larai ki yaha tk k talaq tk nobat agai ti phr mery ghr walo ne step lia or kaha k sat lakr jao warna alg ghr lakr do meri sas ne is per mery husbnd se kaha k talaq de do bahr rehny walo ki bv ka yehi hal hota hy...

  • @Dr.Farrukh123
    @Dr.Farrukh1233 ай бұрын

    The male speakers are no match for the lady. She is knowledgeable, polite and very competent.

  • @bilawalanwar2906
    @bilawalanwar2906 Жыл бұрын

    Dua kary k har husband apni biwi k Sath rahy

  • @MariyamKhan84324

    @MariyamKhan84324

    10 ай бұрын

    Ameen

  • @rizwanbhati4566

    @rizwanbhati4566

    4 ай бұрын

    آمین

  • @user-gz5mx2nd5p
    @user-gz5mx2nd5p Жыл бұрын

    Love the arguments of woman speaker. She spoke the truth. The guy started saying that stay with her in laws. I cannot imagine a if it was reversed would the guy live with his in laws.

  • @hinarehman7972
    @hinarehman7972 Жыл бұрын

    Lady understand all circumstances very well

  • @user-pe2lc1fb1q
    @user-pe2lc1fb1q4 ай бұрын

    Mai apne abu jaan ki شہزادی Lakin sasural walun ki nokrani Sbbb kr k dekh liya Na shohar khush na sasural wale 😢 Meri zindagi ka bhyank safr guzr rha hai Jis ka name hai shadi Apni beti ki wjhaa se ye zindagi guzar rhi hun 😢😢😢😢😢 Hm ourte bss qurbani k liye hi bni hain

  • @tasawarhussain6427

    @tasawarhussain6427

    3 ай бұрын

    😢

  • @aribaftab5384
    @aribaftab5384 Жыл бұрын

    Masha Allah bohat acha represent Kiya he mam ne.Allah bless her every moment.

  • @rjw835
    @rjw835 Жыл бұрын

    Ap blkul thk kehrahi hn ye bht bari azmaish h sb k lie....Allah insaf krne ki taufeeq dey

  • @zoomalik9122
    @zoomalik91229 ай бұрын

    Ye sahi bola apny kesy paisy milti hy😢

  • @AzaanKhan-zc5yv
    @AzaanKhan-zc5yv9 ай бұрын

    Mery husband bahir gye huwy ha bht muhskil ha un k bagir rehna bht muhskil ha or mery 2 bachy ha wo bi bht tang krty ha dua kry main husband k pass chali jaun... Ameen SumAmeen...😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

  • @islamickhwateen

    @islamickhwateen

    9 ай бұрын

    Ameen inshaAllah..Allah aapki Dua Qubool Kare...Summa Aameen

  • @sameermoin8937

    @sameermoin8937

    5 ай бұрын

    Allah apko apne shohar ke paas bhej de ameen

  • @a.jnewhairstyle992

    @a.jnewhairstyle992

    3 ай бұрын

    Ameen

  • @fatimaji4667
    @fatimaji4667 Жыл бұрын

    Mard chor kr chale jate hn r sas sasur jeth jethani sab ki khidmat krwate hn r kabhi thax bhi ni kahte r sab se zalil bhi krwate hn mard khud acha bane rahna chahte hn r biwi ko sab ki nokr bana kr khud ki zimmadari se bach na chahte hn

  • @alijee7087

    @alijee7087

    11 ай бұрын

    Suffering same situation😢

  • @farhakhan9716

    @farhakhan9716

    10 ай бұрын

    Same here😢

  • @mobilive9656
    @mobilive96564 ай бұрын

    Yeh baat mardoo k leye kerna bht asan k agr tera bhai bhr ho to phir kya apni bhabi ko alag rakho gay ya 30 saal baad apny bety aur bahu ko alag ker k akely reh lo ge.....mgr yhn mard hazraat apny ghr walo ka behaviour kyun ni dekhty zubano per angaray rakh ker woh muqafate amal bolty... i wish agr main jab is stage per jao to main fully ijazat doon k meray hatho kisi sth zydati na jo main saha woh meray bachy ya bahu ya kisi ke beti na sahay

  • @cookingculture01
    @cookingculture01 Жыл бұрын

    Mam nay bhoatttttt aacha Bola hi bilkul theak kha rahi hi wo sub

  • @ammarairshad8922
    @ammarairshad8922 Жыл бұрын

    Aoa. Sir mostly girls ghar basany k liay jati han... Susral walay especially mother in law jesa baho ko bnana chahy bnaa skti hy... I think ager start k kuch sal baho se acha behaviour rakhy to baho b futur mai de gi.. Lakin ager baho ko tont krna r unethical behavior rakhain gi to kal ko unko return b wesa milay ga.

  • @Rabia.Fatima

    @Rabia.Fatima

    3 ай бұрын

    True....not only taunt, also speaking loudly with daughter-in-law. But, aisey doooria he paida hoty hey... daba k rukhna chahty baho ko log, phir kehty baho achy ny

  • @nehatabassum9256
    @nehatabassum9256 Жыл бұрын

    jazakallah...

  • @HamidBaig-zo6xe
    @HamidBaig-zo6xe Жыл бұрын

    Jazak Allah

  • @abdullahaffan7248
    @abdullahaffan7248 Жыл бұрын

    Lady speaks true words mri bhen k husban 15 sal sy sodiya me hn or 15 sal wo mri api ka sath mushkil sy sal ya do sal rahy hn pechy sy bachyo koi nhe dakh rha tha wo khati hy k mri sahadi q ke ap ny jb sb kuch me ny akly face krna roti hy or khati hy mri lonless ko koi nhe smj raha

  • @user-ps2uz8nz5t

    @user-ps2uz8nz5t

    4 ай бұрын

    آپ ظالم ہے وہ عیاشی کر رہا اپ معصوم کی شادی کر دیں

  • @Rabia.Fatima

    @Rabia.Fatima

    3 ай бұрын

    Your sister is absolutely right... akely life bagair hsbnd k guzarna bucho ko b dekhna very tough job

  • @SoaebPatel-ir5dy
    @SoaebPatel-ir5dy Жыл бұрын

    Mashallah bilkul sahi baat ki mm ne

  • @slimeasmr471
    @slimeasmr4714 ай бұрын

    Amin

  • @BelgaumCW
    @BelgaumCW Жыл бұрын

    ekdm correct

  • @sistermuslimah
    @sistermuslimah Жыл бұрын

    Well said

  • @shabanaraja6340
    @shabanaraja6340 Жыл бұрын

    Allah bless you sister and brother good work 🤲🤲👍

  • @tazeenzaibvlog7370
    @tazeenzaibvlog73703 ай бұрын

    Bohat AAla ❤

  • @muhammadyounus5802
    @muhammadyounus5802 Жыл бұрын

    Lady understand the situation very well.

  • @toxic5881
    @toxic5881 Жыл бұрын

    Bulkul

  • @user-ps2uz8nz5t
    @user-ps2uz8nz5t4 ай бұрын

    کمال بات جیو جیو

  • @mineyt5852
    @mineyt58524 ай бұрын

    Nice discussion

  • @dryasmeenatif5375
    @dryasmeenatif5375 Жыл бұрын

    Ur all topics r great i really like

  • @tazeenzaibvlog7370
    @tazeenzaibvlog73703 ай бұрын

    Dua ke liye Aameen Summa Aameen

  • @muznach672
    @muznach672 Жыл бұрын

    100%true madam 😢

  • @LaibaArooj786
    @LaibaArooj7863 ай бұрын

    This lady v competent mashallah

  • @pakistanifamilysinspain
    @pakistanifamilysinspain4 ай бұрын

    Vvvvv true

  • @wajeehaasif6508
    @wajeehaasif6508 Жыл бұрын

    Mere miyan 7 saal bahir the shadi k bad pehle unko physical he nhn hona tha mere sath qk unki felings he mar gain thin jb larai jhagre kar k unki feelings jagain tu pata chala unki toop ka size he chota hogaya tha mujhe satisfaction nhn hotin after humbistri qk wo 40 se upper hogae haiin now unko ha mardana kamzori cigrete roz pite hain ur chai ziada pite haiin cold drinks bhi ur na walk krte na exercise bus main sabar kr rahi hun Allah mujhe jannatul firdos me jaaga de sabar k baadle ameen ur main unse 10 saall chotti hun husband itni bari age ka nhn hona chahiye now i realize hamare parents ne hamen ghalat guide kiya tha 😢

  • @nnisa901

    @nnisa901

    4 ай бұрын

    Meri bhi shadi 12 year bade ladke se hone wali hai 😢

  • @wajeehaasif6508

    @wajeehaasif6508

    4 ай бұрын

    @@nnisa901 ye ghlti mat krna 40 k bad mardon ko kamzori hojati ha

  • @abiaanwar2915
    @abiaanwar2915 Жыл бұрын

    Ma shaa Allah what she said is absolutely right , autonomy and authority, n in this no one should has right to put their thoughts in, i think mostly women want to live alone bcz of lack of surveillance of these things

  • @slimeasmr471
    @slimeasmr4714 ай бұрын

  • @icemac5749
    @icemac5749 Жыл бұрын

    This lady is more realistic n best person ..she really understands all aspects of other’s problems…although Allah k liye hi karna hai sab.par agar susraal mn reh k khud depression ki marzi hi ban jaye ya nokar toa husband k liye wese hi kisi kaam ki nahi rehti..woa hazaar Keere nikalta hai loat k tum ne kya Haal banaya phir susraal walon k jhoot pe larki shohar k hathon zalil b hoti hai..jitne din shohar ne rehna hai woa b khushi k din nahi hote aur wapis ja k kuch hi Dino mn news ajati hai k dusari shadi kar liye baat divorce pe khatam..par agar financial issues nahi hote aur larki wale b rich hain phir larki sath hi jati hai…isi liye behan ne jin bachiyon ka zikar kia woa rich family se hoti hi nahi hain isi liye susraal k zulm ki intaha..par isk elawa mn bas itna kahungi larka khud apne parents ki khidmat kare phir biwi kuch sath help kare toa best baat hai..beta apni zimadari biwi pe nahi daal sakta aur 100% bariyozima nahi hosakta..baki plz sab se request hai biwi ho ya parents kisi ko b samjhana hai ya baat sanmbhalni hai toa araam se pyar se sanmbhale alag alag ..wese mn ese husband ko b janta hun jis ne maa k kehne pe kae saal biwi ko bht mara siraf maa ki khushi k liye..baad mn biwi se kehta majboor hun pyar toa tum se karta hun..biwi zehni mareeza ban gae …ab baat siraf itni hai Allah ka khof ho toa koi b kisi ko takleef nahi de sakta chahe koi b rishta ho..par afsos k garur ana n I’m the right itna zyada hai aur deen se lailmi aur duri waja hai k khof nahi raha

  • @abiaanwar2915
    @abiaanwar2915 Жыл бұрын

    In this i want to add even if she has to visit someone or has to go outside she is obliged to take permission from her husband only, agr ye cheezein ho jasin tou society mn bara good change aa jye, but again culturally it is not acceptable

  • @tazeenzaibvlog7370
    @tazeenzaibvlog73703 ай бұрын

    Ek program bivi bachcho k huquq pr bhi karen plz

  • @sanaaAhmed140
    @sanaaAhmed140 Жыл бұрын

    Mere shohr ny bhi esa hi kiya tha shadi kr k saudia chala gya ek divorcee walida or umer rasida physico behen p chrh k shadi sirf 2 saal chali meri beti paida hone k 10 din bad hi saas or behen ny na haq talaq delwa di wahan saudia say

  • @nousheenbibi7742
    @nousheenbibi7742 Жыл бұрын

    Aslmoalikum bht acha byain h mry husbend b iut off country m hty han bht mushkil h ekly rhna plz dya kry un k ppr bn jyin ppr ka isuu bna hw a ni skty

  • @getouttahere3896

    @getouttahere3896

    Жыл бұрын

    Allah apko zaroor khush kry ga. Himmat nhi harni. You got this.

  • @Shaista.Raja.786.
    @Shaista.Raja.786. Жыл бұрын

    Parents kabhi dobara responsibility nahi lety...

  • @user-tq6hw2ur2v
    @user-tq6hw2ur2v4 ай бұрын

    Better true it's being 8 yrs I am fed up now

  • @user-ps2uz8nz5t
    @user-ps2uz8nz5t4 ай бұрын

    زبردست بات اس خاتون کا نام کیا ہے

  • @ghazalaayaz7154
    @ghazalaayaz71544 ай бұрын

    Well as my experience, i want to say that home is kept intact in must of the cases with the woman sacrifice i

  • @mrsqaisar6276
    @mrsqaisar62764 ай бұрын

    Pray for me and my all

  • @user-pe2lc1fb1q
    @user-pe2lc1fb1q4 ай бұрын

    Kindly ap ye bta de agr shohar ki zabrdsti shadi ho or wo apni biwi ko khush na rkhe k tm to میری maa ki pasnd ho میری نہیں to aise mai aik ourt Kiya kre kis trhaa guzara kre hala k hrr ممکن koshish ki ho

  • @hiraatif4620
    @hiraatif46204 ай бұрын

    Muhammad Ali sir mera aik question ha ma two years sa rh rahi hu or mujha sb khta ha ka ya mera naseeb ma ha dur rehna kya waqai ya bat ha ya mujha stand lana chahiya

  • @jalalorakzai5032
    @jalalorakzai5032 Жыл бұрын

    Agar shohar baher ho biwi ko time na day call na kare aur dosri shadi waha par kare zaror es k bare me bat karen

  • @amtulkhan7308
    @amtulkhan7308 Жыл бұрын

    She understands but she don’t believe what’s right in shariya what we think don’t matter what Allah say that’s matter you will b ask if you follow your ehkam not about others focus on that .

  • @muhammedshazilkhanshah4418
    @muhammedshazilkhanshah4418 Жыл бұрын

    Simple answer, safe the rule of the book, Quran, not the society and state culture

  • @maxvicky8117
    @maxvicky81174 ай бұрын

    How can we contact to you mam?

  • @sufiazia145
    @sufiazia145 Жыл бұрын

    Insaniyyat k sath. Mardd hoo...shohar waley ossaff hun. Makaan or.gher ka farq ! Samajhta hoo...

  • @truebeliever3948
    @truebeliever3948 Жыл бұрын

    Yeh dramas Mae dekhatey Hain , husband jabb abroad se cash send kartha hai tu woh wife ko Nahin dia jaatha, yeh zyaati hai ,already usko husband ki hamdardi aur care Nahin mil raha Jo uskae bachon ka bhi HAQ hai

  • @mahnoorn9109
    @mahnoorn9109 Жыл бұрын

    mam is just too good, it feels like she is reading my mind and sir no offenses but the very first thing tht u said was illogical, nobody, no human on the earth cn do this plz stop expecting women to be angels thy r still humans just like u thy r not that tolerating n its a fact bcz men r nt as well, plz plz expect normal things frm us

  • @hajunoor5744
    @hajunoor5744 Жыл бұрын

    Mary husbnd foreign country, main sas susr k sath nhi rehti , jeth or jethani k sath alag ghr main hun , Mary bachy b nhi hain kiya is surat main , main apny parents k ghr rehmy ka mutalba krna jaiz hai????? Kindly koe rehnmae frmaye

  • @justsayit5251

    @justsayit5251

    Жыл бұрын

    behn 100% jaiz hai .. Apk jeth namehram hain apk lie

  • @user-pe2lc1fb1q
    @user-pe2lc1fb1q4 ай бұрын

    Mera shohar to harcha b nai deta hala k میری aik beti b hai 😢😢

  • @panipatcity8730
    @panipatcity8730 Жыл бұрын

    Ali bhai aap itne partial bolne waley ,Jo impractical batein kar rahe hain ,ye sahab to sirf Mardo k liye bol rahe hain..

  • @oruj-e-munir5908
    @oruj-e-munir59083 ай бұрын

    Sasural Ka her rishta shohar se munsalik hai. Or agar shohar saath nhi hota to her rishta khokala hai. Shohar se doori biwi pe bhari parti hai phir bachon ki as single parent terbiyat b eik imtehan. Aise me susal k rishte kya nibhaye gi bandi. Wo emotionally or mentally stable hi reh Jaye to baat hai. Lekin shayed ye cheez eik mard kbhi nhi smjh skta

  • @MumtazthisChanelisforusSKhan
    @MumtazthisChanelisforusSKhan Жыл бұрын

    AJ Kal baho ko sas nahi Pasand ma ground pa Hoon wo uper ha har cheese alg ha Jain Ap gher Khali carain ki larai asaish puri hain sas ka wajood nahi chaiy madam Ap batain

  • @mobilive9656
    @mobilive96564 ай бұрын

    Mgr aj kal k mard her chotj baat per dosri shadi k haq ke baat to.kerrttmgr haq aur nibha ek aurat sath b ni ker patay wahan sirf apny maa baap aur behn bhai reh jatay aur bv bs noker

  • @iqraanaswaqar3655
    @iqraanaswaqar3655 Жыл бұрын

    Boys shuould be more sensible because mostly inlaws bht zaleel krty hn i have go through this abd eventually divorced

  • @amtulkhan7308

    @amtulkhan7308

    Жыл бұрын

    If you did all the right thing as Allah wants you to then you should not complain about in-laws r anyone what ever happened supposed to happen why happen only Allah knows and we as a Muslim believe it’s happened for the best.

  • @user-ps2uz8nz5t

    @user-ps2uz8nz5t

    4 ай бұрын

    بالکل نالکل بی بی آپ بالکل حق کہ رہی ہیں

  • @asmabkhan1011
    @asmabkhan10114 ай бұрын

    Meri shadi ko 4months huey hn... Or pregnant b hun Alhamdulilah. Mery husband week phly e abroad gaey hn ab susral mn sirf sas susar or unmarried dewar hy. Or main... Main udr ni rehna chahti ab but mery husband force kr rhy k mery maa bap k sath rho unki care kro... But kesy? Udr sb na mehrum hn mery liey. Meri sas ny kbhi tareef ni ki meri siwaey bat bat py tont krny k yaa insult krny k... Husband k jaty e filhal to mery abu mujy apny ghr ly aey susral se boht mushkil se 15 days ki chuti mili hy jis mn wo log daily mery husband ko btaty hn k aj hm aisy bimar hn aj hamen flaan bimari hy ta k wo mujy kahen or main waps chli jaun jb k husband k bghair us ghr mn qadam rkhna b boht mushkil lg rha hy.... What about me??? Anyone guide me plzzz😢😢😢

  • @user-tq6hw2ur2v

    @user-tq6hw2ur2v

    4 ай бұрын

    Same story JB KY love Marriage ha Meri

  • @faheemKhan-kh2yi

    @faheemKhan-kh2yi

    3 ай бұрын

    same case with me

  • @asmabkhan1011

    @asmabkhan1011

    3 ай бұрын

    @@faheemKhan-kh2yi bs yh mot bhugatni parti Hy or bhugat rhi hun 20 25 dino se😪😪 pta ni yh Kon c qaid Bnai Hy larki k liey wo jeety jee mar jati Hy akeli susral MN reh k

  • @asmabkhan1011

    @asmabkhan1011

    3 ай бұрын

    @@user-tq6hw2ur2v love ho ya arrange... Shadi k bad love ho e jata Hy. Yh stand larkon ko Lena chahiye k JB tk main bahir hun iski Marzi yh Jahan khush ho k rehna Chahy... But idr Kam e Ulta Hy naseeb se durpok larky hmari qismat MN aey

  • @user-lt4vz2ft9h
    @user-lt4vz2ft9h Жыл бұрын

    The female guest is 101percent right a lady can understand the circumstances of other ladies

  • @salmanshahid6691
    @salmanshahid669110 ай бұрын

    Mera husband 5 Saal sy Aya hi nai

  • @ahmadnazir02
    @ahmadnazir024 ай бұрын

    Sab bat ki ek baat husband sahi ho to sab riste sahi chhale gi ek karki 25 saal apne ghar se dur hokar zinagi gujar leti hai lrkin ek mard apne ghar mai 25 .30 saal apne ghar mai apne maa baap se izzat piyar na dilasake to lanat hai wo apni hi izzat bachane mai lagjata hai ke mai badla nahi mai wohi hu ecsept karo ke. Tum badalgaye ab ek or jimedari aagai lekin

  • @Shaista.Raja.786.
    @Shaista.Raja.786. Жыл бұрын

    Bahi air bhabiyaan kab zimadariyan uthaty Hain Punjabi family Mai....

  • @chareeb2185
    @chareeb2185 Жыл бұрын

    Bhi topic k lehaz sy satisfaction ni hoi start wali bat rh gi k pechay rh jany wali girl kia kry jo apny husband k paisye susar sy ly rhi hy

  • @salmanarif6651
    @salmanarif6651 Жыл бұрын

    Depend karta hae biwi pe bhi, materialism ka daur hae. Paesa nationality ke liye mostly shadi ki jati hae

  • @areejshams3253

    @areejshams3253

    4 ай бұрын

    Agar nationality chahti hai tu sath jaa kr milay gi na, na keh susral main reh kr

  • @salmanarif6651

    @salmanarif6651

    4 ай бұрын

    Konsi guarantee hae sath ja kar milen gi? Kai logon ki talaqen is liye hon gai keh nationality milne se pehle visa sponsorship khatam ho gain..!

  • @salmanarif6651

    @salmanarif6651

    4 ай бұрын

    Nationality ki khatir hi shadi karni hae to deen ka naam na len naaa...!

  • @user-sp1uf9sy9k
    @user-sp1uf9sy9k4 ай бұрын

    Yahan tak thik hai lekin bahu husband kharch dene se mana karti hai Aap maa per kharch nahin kar sakte uska kya

  • @shazianoor3937
    @shazianoor3937 Жыл бұрын

    No

  • @yahyaahmed2563
    @yahyaahmed25634 ай бұрын

    Ni aisa bhi ni hota mere husband 7 sal tak bahir rahy pese abbu ko bhejty thy ur woh mujhy 60 rupy ka dahi bhi ni la ky dety thy woh main khud se deti thi jo mujhy mere ammi abbu dety thy us main se phir bhi in halat main main unky sath rahi ur rat din khidmat ki ur at the and silah yeh mila ke apki bivi nikammi hai ur jab husband se bat karti to woh kehty koi jab main aon ga to dekh lun ga sab thik ho jay ga ur ab meri shadi ko 10 sal ho gay kuch thik ni howa

  • @samirapirjada4555
    @samirapirjada45554 ай бұрын

    English na bole plz

  • @Shaista.Raja.786.
    @Shaista.Raja.786. Жыл бұрын

    Jhoot....

  • @MehwiAsif
    @MehwiAsif Жыл бұрын

    Please don't use Word aunti Say mohtarma,Mrs Asiya,Asiya mam, Madam,Alima sahiba etc,.You are calling this man with his name not by saying uncle.

  • @yasmeenpirzada9262
    @yasmeenpirzada92623 ай бұрын

    یہاں صرف یہ بات بتائیں کہ چند۔مہینے کے لیے شوھر کے جبنے کے بعد بیوی کو اپنے سسرال میں کس طرح رہنا چاہیے

  • @Sanee_Life
    @Sanee_Life4 ай бұрын

    I want counselling with aunty please tell me how to contact her? Mera ghar totnay wala hae.

  • @islamickhwateen

    @islamickhwateen

    4 ай бұрын

    Miss Asiya Madni Contact Link- chat.whatsapp.com/IbrtxW7oH6j9ZyhT5k2Zi2

  • @rukhsarkanwal6554
    @rukhsarkanwal65543 ай бұрын

    Please phone number shair kar sakty ha guideline chahiyay the

  • @mehreengul3618
    @mehreengul3618 Жыл бұрын

    Allah pak SB bachiyo k naseeb achey krei.

Келесі