My First Video | Frozen Food Business setup | فروزن فوڈ سیٹ ایپ | First Vlog | PK Food Journey

Hello everyone! Welcome to my KZread channel " PK Food Journey"
This is my First Video "First Vlog"
My channel would be helpful for the people who are interested in Frozen Food Business or Small Food Business.
In My First Video I will talk and update you about "Frozen Food Business setup".
Ager aap gher se Small food Business Start karna Chatay hain to es Video ko Lazmi Dekhain. Es Video mai main aap Asal Reality Bataon Ga. Yeh Meri First Video hai jo jogoon ke help ke liye upload kar raha hon.takay loog loss se bach sakein. mujhe koi bi guide karne wala nahi tha.es wajha se botha ziyada loss howa. especially wo women's jo gher se kaam start karna chahti hain es video ko lazmi dekha lain. Market mai jub saman sale karne jaein to shops pe saman sale karna asaan nahi. Es Channel pe aap ko food Business ko Realty bataon ga.
How to Start Frozen Food Business
Start Small Business form home
Small Business Under 50000
5000 se Kaam Start Karin
Small business ideas
business from home
Easy business from home
small business for women
My First video on Small Business
Business startup Info
Small Business Reality
My First Vlog
My First Video
frozen food business setup
If you like my videos subscribe to my channel and press the bell icon to get all notifications and share with your friends and family.
Thank you❤️
#firstvlog
#Myfirstvideo
#firstvideo
#Frozenfoodbusinesssetup
For Business Enquires: hmfoods76@gmail.com
Regards
"PK Food Journey"

Пікірлер: 112

  • @sumairadurrani6660
    @sumairadurrani6660Ай бұрын

    Nice. Video

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    Ай бұрын

    Thanks

  • @NabilahassanNabila-ts7bh
    @NabilahassanNabila-ts7bh19 сағат бұрын

    Jazak Allah brother

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    18 сағат бұрын

    JAZAKALLAH KHAIR

  • @user-ss7od9ti5i
    @user-ss7od9ti5i29 күн бұрын

    Oar mehnat krain

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    29 күн бұрын

    wo to kar he rahay hain.

  • @RashdaSaif
    @RashdaSaif5 ай бұрын

    It’s good to say truth

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    thanks

  • @Indianlifewithdua
    @Indianlifewithdua5 ай бұрын

    So true.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Thank u

  • @desilivingcanada3668
    @desilivingcanada36685 ай бұрын

    Wonderful video 😊. Ma Sha Allah 🥰 cute host 😊

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    thank u

  • @mahamir1
    @mahamir15 ай бұрын

    May Allah make you successful, ameen.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Ameen

  • @rozikiduniya468
    @rozikiduniya4685 ай бұрын

    Mashallah🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    jazakallah

  • @AhsHomeFood
    @AhsHomeFood5 ай бұрын

    Bilkul bhai aap ki bat 💯 sahi hai..Allah pak asaniyan paida farmay hum sub k liya.Ameen

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Ameen

  • @soniyazdan8590
    @soniyazdan85905 ай бұрын

    Sach bola apny mera ye dosra saal hai food ka but mai buhat pareshan hun.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    aap ko free ho kar jawab don ga thora detail mai. aap ke channel ke baray mai. raat ko check karo lon pehlay

  • @umenayab3765
    @umenayab37655 ай бұрын

    Great sir keep it up

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Thanks and welcome

  • @zaraali6006
    @zaraali60065 ай бұрын

    ALLAH PAAK AAP ko kamyaab krein ameeeen😢😢😢

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Ameen

  • @hasnamansoor3418
    @hasnamansoor34185 ай бұрын

    JazakAllah bhai

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    وَأَنْتُمْ فَجَزَاكُمُ ٱللَّٰهُ خَيْرًا

  • @Zubia851
    @Zubia8516 ай бұрын

    Zamin is so cute, and your video is really informative.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    Glad you liked it☺

  • @dove03
    @dove032 ай бұрын

    True sir

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    2 ай бұрын

    Thanks

  • @rayyankhan2381
    @rayyankhan23816 ай бұрын

    Very informative

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    Glad it was helpful!☺

  • @shahidmalik65
    @shahidmalik656 ай бұрын

    Great. Its good that your are sharing your personal experience. Guiding people according to the ground reality is really a service to them. Doing a great job. Allah be with you.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    Yes! Thank you!

  • @WaqarJuraid-lx9zw
    @WaqarJuraid-lx9zw6 ай бұрын

    👍

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    thank u☺

  • @M.kEDITZ742
    @M.kEDITZ7425 ай бұрын

    Exellent sach bola bhai ny . Bhut mehnat wala kaam hy . Pysa bhi bhut kharch krna parta hy .

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    G yehi to batana chahta hon logon ko. asal reality kiya hai.

  • @QasimMoments
    @QasimMoments5 ай бұрын

    Doing very well work bhai ❤❤❤

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Shukriya

  • @luckynousheen1606
    @luckynousheen16066 ай бұрын

    Aawwww…cute..

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    thanks☺

  • @user-sl9mk9mn5t
    @user-sl9mk9mn5t5 ай бұрын

    Good video Like ✅ done An informative video 👍🎉❤ Keep it up 👍❤ New Stay connected 🎉❤🎉

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Thank you

  • @hasdywasdyrawao252

    @hasdywasdyrawao252

    5 ай бұрын

    Bhai apna contct no.share karna

  • @rshamim7328
    @rshamim73286 ай бұрын

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    🌹

  • @nawalcooksvlogs8381
    @nawalcooksvlogs83815 ай бұрын

    ALLAH PAK ko kamyab kary

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Ameen. Thank u

  • @FatimaKhan-pb9rs
    @FatimaKhan-pb9rs4 ай бұрын

    Sir channel monitize krwae or ek add lgwae aap ka business grow kre ga give up nh kre inshallah qamyb hongy aap aghr aap ko channel monitize krwana h tu mein help kru ghi

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    4 ай бұрын

    Thanks. aap ko pata hai Channel organically he monetize ho to us ka faida hota hai. our monetize channel ki koi value nahi ager us pe views nahi aate after monetization.

  • @FatimaKhan-pb9rs

    @FatimaKhan-pb9rs

    4 ай бұрын

    @@pkfoodjourney sir ye koi fake nh real chez bta rhi hu aap ki mehnat dekh ke takee aap apne esi channel se income hasil krr sky Mein koi glt chez nh bta rhi yaqeen kre sponsor add se channel grow hoty h aap jo chez bnaty hu es ko ek naam du takee aap ke khane ko ek pehchan mily apni eske box ready krwae naam de es se aap ko faida hoga kalko millions mein subscribers tu hongy sath aap ki food ki website hogi aap ki chez log buy kre ge online

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    4 ай бұрын

    @@FatimaKhan-pb9rs g aap ne bilkul theik kaha.mere case mai yeh kaam nahi karay ga. jo aap bataya wo hai mere zehan mai. abhi issue mera area hai. muzaffarabad mai baki pakistan wala haal nahi. yahaan log youtube hi bohat kum use kartay hain. sub facebook pa lagay howe hain.fb audience 30km bi kar lo to 170k/ 180k Audience banti hai. fb campaign ka bi faida nahi. mujhee 5,7 km ke ander ke costumer chaiye. khair shaid Next month lahore he Shift ho jaein. tub Paid Permotion kaam kar sakti hai. yahan log khud kehtay hain bus Sasta de dain chahay ganda ho. aap ka koi channel hai youtube related ?

  • @FatimaKhan-pb9rs

    @FatimaKhan-pb9rs

    4 ай бұрын

    @@pkfoodjourney g sir Mera channel hain art ka

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    4 ай бұрын

    @@FatimaKhan-pb9rs Good, Allah barkat dain aap ke kaam mai.Ameen

  • @manobilli6829
    @manobilli68295 ай бұрын

    Asslam o alikum sir mein b ye km krti hn ramzan mein sirf

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    may allah make you successful

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    wa alaikum assalam

  • @umairrajput5019
    @umairrajput50195 ай бұрын

    Sir koi kam ka idea dien k gher bethy kia kam kren or kesy kren bht tens ho m samjh ni ata. K earning kro .

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Bhai Allah se Mango. Khud Rasta khul Jaye ga. dene wala to wohi hai. Mujhee to aap ke baray mai kuch bi nahi pata.

  • @AnilaYasmeen-ni1lf
    @AnilaYasmeen-ni1lf3 ай бұрын

    Ask order pr jitna karcha aya ga us sy kitna prophit rkh kr sale kry

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    3 ай бұрын

    Apne area mai dekhein dosray log kis rate pe sale kar rahay hain.

  • @AnilaYasmeen-ni1lf
    @AnilaYasmeen-ni1lf3 ай бұрын

    Aik order pr jitna karcha aya ga us sy kitna prophit rkh kr sale kry

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    3 ай бұрын

    Retail ka kaam hai to aap ne apne rates khud set karne hain. Kuch fix nahi hai. Lahore mai es wakat aloo samosa (small) Rs 70/12 ka sale ko raha ha(area ravi road) our 355/12 bi sale ho raha hai (area paragon city).

  • @AnilaYasmeen-ni1lf
    @AnilaYasmeen-ni1lf3 ай бұрын

    Aoa mai yah kam start krna cha ri hu aap please bta dy k ek ak order pr jitna karcha aya ga us sy kitna prophit rkh kr sale kry

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    3 ай бұрын

    Wa alikum asalam. Mere experience ke mutabic Yeh to aap ke area pe depend karta hai. Aap ne kiya cheez our kesi banai hai us pe depend karay ga. Area acha hai to 1000 ke order pe 100,200 price ziyada bi hai to koi issue nahi. Aap ki cheez ka taste customers ko acha lagta hai to. Wo pay karta hai. Apne area ko deakhty howe us ke mutabiq cheez banaein.

  • @Quranislife1778
    @Quranislife1778Ай бұрын

    Kabab sanche Kahan se milte hain

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    Ай бұрын

    KZread pe shami kabab mold search karne se bi top pe mil jaye gi video aap ko.

  • @Yourskitchen3
    @Yourskitchen35 ай бұрын

    Bhai Allah ap ko kamyabi dy.Bhai men ghar per samosy ya rool bna ker freeze kerti hoon to un men cracks per jaty hen please guide kren😊

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Yeh Issue mai bi aaj kal face kar raha hon. Main Khud Trace Karne ki koshish kar raha hon es Issue ko..Mujhee Lagta hai Shaid yeh Freezer mai Cooling Ziyada Hone ke wajha se ho. Pehlay bi Winter mai he mujhee yeh Issue Face karna para tha. I Think Jesay ho Mosam Change ho ga Shaid Yeh Problem khatam ho jaye.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Freezer ka thermostat thora low kar ke result check kar lain. mai ne bi es bar check karna tha per yaad nahi raha.

  • @asmaasif3790
    @asmaasif37903 ай бұрын

    Hmmm .informative but qismton pe bhi boht depend h kaam ka chlna na chlna

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    3 ай бұрын

    G sahi kaha

  • @manobilli6829
    @manobilli68295 ай бұрын

    Ap ko c city sy hn agrujy help chaiye to to plz btain gy

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    g zaroor. Jitna meri knowledge hai us ke mutabiq zaroor guide karon ga, Muzaffarabad, Azad Kashmir

  • @MrNeel321
    @MrNeel3216 ай бұрын

    Zamin G😊

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    G 😂

  • @sumairarana1293
    @sumairarana12935 ай бұрын

    Apk deep freezer me carton rakhy han tou ye bhegty nahi han ????

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Bilkul Nahi. Freezer mai Cooling hoti hai. freezer -10 to -18 he rehta hai.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    yeh to carton hai. Saman mai jo Papers dalay hotay hain wo bi nahi kharab howe kabhi.

  • @muslimgirl21362
    @muslimgirl213625 ай бұрын

    Nargisse koftay ko boil egg k sath freez keya ja sakta ha kya???

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Mujee nargisi koftay ka koi experience Nahi. Per Mere khayal se koi Issue nahi ho ga. koftay ko steem de kar freeze karna ho ga. youtube pe "how to freeze boiled eggs" ko bi thora search kar lein.us se bi kuch idea ho jaye ga, mujhee filhaal nargisi koftay to with boil egg freeze karne ki koi video nazar nahi aai.

  • @user-by6nj2xn6d
    @user-by6nj2xn6d2 ай бұрын

    Bai bijlii ka bill kitna ata hi freezer sy

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    2 ай бұрын

    Kashmir mai mera almost free wala hisab tha. Abhi mai Lahore shift ho gaya hon esi month. Next month pata chalay ga.

  • @Aliawan-ve2nd

    @Aliawan-ve2nd

    2 ай бұрын

    Bht zberdast mny bhi abhi start Kiya bht problem arhi h

  • @salimafridi2304
    @salimafridi23045 ай бұрын

    Chote shahr main frozon food ka kaam kiya mumkin he ?

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Wholesale Ka Ya Retail Ka ? Meray Khayal se Es Gher se Khane ka Kaam ziyada behter hai. Jo marzi ho jaye Khana to her kisi ne khana hota hai. Fori cash Retune bi hota hai. frozen food ki nisbat kum investment ki zarorat hai. Electricity bill nahi freezer ka . or bi kai point hai jo frozen food ki nisbat Plus Point hain gher se khane ke kaam mai,

  • @MrNeel321
    @MrNeel3216 ай бұрын

    Update?

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    6 ай бұрын

    Soon

  • @imrannews786
    @imrannews7865 ай бұрын

    😂😂😂

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    😎

  • @faisalsaleem2478
    @faisalsaleem24785 ай бұрын

    Apkay failure ki kya reason thi. Storage issue tha ya financial.

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Good question. Multiple issues. Jesay he time milta hai video mai es ko explain karon ga. I think text mai mai theik se samjha nahi sakon ga.

  • @aqsafoodsvloger7778
    @aqsafoodsvloger77785 ай бұрын

    Aslam o alaikum Bhai ager home shaf k Kam Karna ho y frozen food k Kam TU kia wo grow NH ho ga😢

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    wa alaikum assalam. Es per jesy he time milta hai tafseel se aik video mai apna experience share karon ga. multiple reasons ho sakti hain kaam ke chalne ya na chalne ki. for example Location, Customer kesa hai aap ke area mai, Wholesale ka kaam hai ya retail ka, kitni investment se kaam kar rahay hain, mujhee jesay he time milta hai mai point note kar raha hon es pe detail se samjhne ki koshish karon ga.

  • @irtazafoods4757
    @irtazafoods47575 ай бұрын

    Paratha price plzzzz

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Abhi frozen paratha nahi bana rahay. 4.5 months pehlay 220 retail price thi 5 pieces ki.

  • @BilalAhmadBilal-mt7kp
    @BilalAhmadBilal-mt7kp5 ай бұрын

    Nug ki price

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    nuggets Abhi nahi bana rahay .

  • @farhanashah4392
    @farhanashah43922 ай бұрын

    No information just batien aap ne bataya koch bhi nahi

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    2 ай бұрын

    Esi video ke comments check kar leiin. Aap ko jawab mil jaye ga. Anyway thanks for watching

  • @hasdywasdyrawao252
    @hasdywasdyrawao2525 ай бұрын

    Bhai apna contct no.share krain

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    kar diya

  • @atherhussain2571
    @atherhussain25715 ай бұрын

    Aap Ka experience ku Acha nhi Raha bro?

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    multiple reasons , es per jesy he time milta hai video banaon ga. es tarha text msg mai nahi samjhya ja sakta.

  • @salimafridi2304

    @salimafridi2304

    5 ай бұрын

    To Kiya AAP ne kaam chor Diya?

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    @@salimafridi2304 nahi Dhol galy para howa hai baja raha hon abhi tak to..

  • @Aliawan-ve2nd

    @Aliawan-ve2nd

    2 ай бұрын

    Ye bhi explain kryn Jo Ghar Sy kr rhy hn plz koi idea dyn drayn nhi

  • @shahnazkakitchen8870
    @shahnazkakitchen88705 ай бұрын

    Assalam walekum aapane video bahut acchi banai hai good video per aap apna number de main aapse frozen Saman Lena

  • @pkfoodjourney

    @pkfoodjourney

    5 ай бұрын

    Abhi to possible nahi. hum abhi Muzaffarabad Azad Kashmir mai hain. Ager Dubara Lahore aa gaye to Shaid possible ho sakay

Келесі