Mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai - Old Nauha

Mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai - Old Nauha
Recited by: Syed Ali Zia Rizvi
=========================
damishq may jo ghareebon ka kaarwan pahuncha
yazeed neyst ne darbaar may bula bheja
behan se Sheh ki Shahadat ka waqia poocha
tadap ke Binte Ali ne yazeed se ye kaha
zameen ki godh may islam ka sitara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye Hussain pyase Hussain
kaha yazeed se Zainab ne sitam aara
ghazab kiya tere lashkar ne roze ashoora
mere Hussain ko jangal may ghayr kar maara
Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar saara
jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye Hussain....
suhaag ujda kisi ka kisi ki kokh jAli
kisi ka jalgaya daman rida kisi ki chini
kisi ki maang may Karbobala ki khaak padi
nabi ki aal hai zindan may ya Ali madadi
jahan may Zainabe dilgeer be-sahara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye Hussain....
ye ranjo gham ye sitam jor aur jafa kab tak
Rasool Zadiyan balwe may berida kab tak
rahegi qaid may Aulaade Murtuza kab tak
nabi ki aal par ye zulm naarwa kab tak
mujhe to maut hi aalam may ab gawara hai
mere ghareeb ko lakhon ne milke maara hai
haaye Hussain....
======
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
archive.org/details/BayaazOfO...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #QadeemiNauha #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #NauhaLyrics

Пікірлер: 17

  • @rizwanakhatoon9569
    @rizwanakhatoon9569 Жыл бұрын

    Haiy hussain bekus hussaìn.

  • @newstn24
    @newstn2411 күн бұрын

    Jazak allah

  • @OldNohay

    @OldNohay

    11 күн бұрын

    Iltemase dua

  • @Rizvi-gj9us
    @Rizvi-gj9us4 жыл бұрын

    Masha Allah Masha Allah jitni khoobsurat awaaz hai utni hi piyari adaigi hai or Dil ki gehrai or emandari o khuloos se parha bhi hai rooh ko chhu jany wali awaaz hai ye awaz mere bachpan se ab Tak pasand hai. Allah Pak Zia Bhai k is khuloos bhare purse ko kubool farmay aameen

  • @OldNohay

    @OldNohay

    4 жыл бұрын

    Illahi Aameen

  • @Szara-tl5gv
    @Szara-tl5gv5 жыл бұрын

    Mashaallah jio G.G

  • @OldNohay

    @OldNohay

    5 жыл бұрын

    Jazakalla. Iltemase dua

  • @Szara-tl5gv

    @Szara-tl5gv

    5 жыл бұрын

    @@OldNohay mola salamt rakhe aapko sab Azadaaro ko Ameen LABAICK YA HUSAIN G.G

  • @syedjawadali2666
    @syedjawadali26663 жыл бұрын

    Gio hussaino gio

  • @OldNohay

    @OldNohay

    3 жыл бұрын

    Jazakallah. Iltemase dua

  • @hussainbrothersnyofficial8403
    @hussainbrothersnyofficial84032 ай бұрын

    Lyrics: Mayray ghareeb ko lakho nay 1) Damishk may jo ghareebo ka kariwa pohacha Yazeeday Nehes nay darbar may bula bhayja Behen say Sheh ki shahadat ka waqayya poocha Tarapkay Bint-e-Ali nay Yazeed say yay kaha Zami ki god may Islam ka sitara hay Mayray ghareeb ko lakho nay milkay mara hay Haey Hussain pyasay Hussain 2) Kaha Yazeed say Zainab nay sitam aara Ghazab kiya tayray lashkar nay rozay Ashura Mayray Hussain ko jungle may ghair kar mara Ali ka kardiya barbad ghar ka ghar sara Jo baykafan hay abhi tak Nabi pyara hay Mayray ghareeb ko lakho nay milkay mara hay Haey Hussain pyasay Hussain 3) Soohag ujara kisi ka kisi ki kokh jali Kisi ka jalgaya daman rida kisi ki chini Kisi ki mang may Karbobala ki khak pari Nabi ki aal hay zinda may ya Ali madadi Jaha may Zainab-e-Dilgeer baysahara hay Mayray ghareeb ko lakho nay milkay mara hay Haey Hussain pyasay Hussain 4) Yay ranjo gham yay sitam jor aur jafa kab tak Rasool zadiya balway may bayrida kab tak Rahaygi qaid may awlad-e-Murtooza kab tak Nabi ki aal par yay zulma nariwa kab tak Mujhay to maut hi aalam may aab gawara hay Mayray ghareeb ko lakho nay milkay mara hay Haey Hussain pyasay Hussain

  • @OldNohay

    @OldNohay

    2 ай бұрын

    Jazakallah. Is channel par sabhi nauhoN ke bol description mein likheN haiN.

  • @RizwanKhan-ir3mf
    @RizwanKhan-ir3mf6 жыл бұрын

    Rijwan

  • @ziajafar7822
    @ziajafar78225 жыл бұрын

    Mara Mazloom Emam

  • @shaheenbanomd.ikhlakhusain4661
    @shaheenbanomd.ikhlakhusain46613 жыл бұрын

    I sunani Shah ki Jis Dam Madina mein yah Marsiya Mujhe chahie upload kar dijiye please Shukriya

  • @OldNohay

    @OldNohay

    3 жыл бұрын

    SA, Yeh marsiya mere paas nahin hai.

  • @OldNohay
    @OldNohay8 жыл бұрын

    Click on "SHOW MORE' to see complete wording of this Old Nauha from Lucknow. Please like / comment / share / subscribe For more old nauhey from Lucknow, please visit www.WirasatAli.com