कूलर मोटर अधिक गर्म होने के 4 कारण | cooler motor over hiting problem | cooler motor repair

Ғылым және технология

Topic covered--
1. कूलर मोटर अधिक गर्म होने के 4 कारण
2. Cooler motor over hiting problem
3. Cooler motor repair
4. Cooler motor over hiting hone par kya kare
Hello friends
My name is Amar and you are watching our KZread channel mechanical search
Doston agar aapke cooler ka motor adhik garm ho raha hai to ab aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai kyoki is video me mai aap logon ko cooler motor over hiting hone ke 4 karan aur solution batane wala hun to doston agar aapko yah video achha lage to like jarur kijiyega aur agar aap electrical avam electronics se jude har tarah ke Repairing video ke sath sath dainik jiwan me upyog kiye jane wale har chhoti se chhoti chijon ke repair ke bare me ek unik idea ke sath sikhna chahte hai to aap hamare channel ko jarur subscribe kijiyega
Thank you so much

Пікірлер: 305

  • @giteshpanda2189
    @giteshpanda21893 жыл бұрын

    behtarin jankari diye bhaiya aap, itna detail se koi nahi btata h🙏❤️

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Sukriya bhai Dil se

  • @Shruti_singh_613
    @Shruti_singh_6135 күн бұрын

    Super video ❤❤

  • @manojkumarverma2072
    @manojkumarverma207210 ай бұрын

    Good information Thanks

  • @mohammedaasim6204
    @mohammedaasim62044 жыл бұрын

    Very good sir

  • @chandtrehan5518
    @chandtrehan55182 жыл бұрын

    Great video

  • @krishnagoswami1756
    @krishnagoswami17564 жыл бұрын

    Sar me ek color motar waindig kiya tha jiski tan 160 30 swg renig 34 nmbr swg satig aemuyam

  • @invisible_kishan
    @invisible_kishan4 жыл бұрын

    Hello mera coller k motor bohot bohot jyada heat ho rha h aur smell krne lg rha h kya problem h kabhi kabhi jam ho ja rha h

  • @rakeshsonisir5564
    @rakeshsonisir55643 жыл бұрын

    Super bhai

  • @santoshSingh-ms9qc
    @santoshSingh-ms9qcАй бұрын

    Very useful video

  • @pkmotorwinding
    @pkmotorwinding4 жыл бұрын

    Nice

  • @chenuverma1866
    @chenuverma18664 жыл бұрын

    Adik speed ke liye bayar b tarn kitna le Stetar 1inch

  • @rickyasy8884
    @rickyasy88842 жыл бұрын

    Sir, Maine kal cooler ka motor badal diya tha. Abhi sahi chal raha hai lekin 5/6 minutes chalne ke baad burning ka smell aata hai. Pliz problem batadena

  • @KamleshChoudhary-wc9po
    @KamleshChoudhary-wc9po Жыл бұрын

    Thanks

  • @vivekkumar-cb3hk
    @vivekkumar-cb3hk4 жыл бұрын

    Mera ek roxi ka table fan hai wo kafi garam hota hai aur slow ho jata hai kya kare bush aur shaft change kar chuke hai

  • @amitkumarjmstbk6922
    @amitkumarjmstbk69224 жыл бұрын

    30 नंबर 32 नंबर 1 बंडल क्वायल लेंगे तो कितना रुपया लगेगा बाजार में बताइएगा गुरु जी रिप्लाई

  • @uttamgupta3598
    @uttamgupta35984 жыл бұрын

    Ty

  • @manilkumarjha4572
    @manilkumarjha45724 жыл бұрын

    गर्म होने का कारण कंडेनसर खराब भी हो सकता है

  • @fullgamingfreefire3450
    @fullgamingfreefire34504 жыл бұрын

    Bhai reply dena ki Mera 1 sawal hai ki cooler ki motor new me high speed hota hai ok next dubar rewinding ke bad speed q Kam hota hai new sapting or new Bush Bhai iska answer Dena please 😊

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aisa hai ki jo new motor hota hai uska har part new hota hai jaise ki soft bush rotor stetor washar coil etc to is karan se motor ekdam free hota hai par jab ham use dobara rewinding karate hai to coil tar new lagate hai par jo stator hota hai wah purana hota hai jis karan se coil me jo electric magnate banta hai wah new ke apeksha kam banta hai Clear bhai

  • @SAIshorts_video1222
    @SAIshorts_video12224 жыл бұрын

    Sir mera cooler hit hone ke karna jam ho jata hai or phir hath se gumao to chalu ho jata hai

  • @amitkumarjmstbk6922
    @amitkumarjmstbk69224 жыл бұрын

    कितना नंबर कुयाल लगे गा पांच पंखुड़ी बला tophan fen RPM 1400/2800 slot 24 stator 1 inch reply dena Guruji

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    भाई अगर आप तार की बात कर रहे हैं तो आप 30-32 नंबर की तार से मोटर winding kar sakte hai

  • @SahilKhan-wb9lb
    @SahilKhan-wb9lb4 жыл бұрын

    Sir mere coller ki jaise hi water pump on karo to paani coller ki jaali ke sath sath moter par aur pankho par bahut aata hai. aur coller ki hawa samane ke bajay coller ki jaliyo se nikalne lagti hai . agar pump na chalao to sahi hawa deta hai please sir batao kya problems ho sakti hai please batao sir

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhaijaan aap apne cooler ka pad change kardo ya pad se jo ghas andar ki taraf nikla huwa hoga un sabhi ghas ko kaichi se kat kar clean kardo to pani motor me nahi jayega aur rahi bat hawa nahi aane ki to aap yah dekhe ki motor ka (blade) pankha kahi jyada muda huwa to nahi hai

  • @alokverma03

    @alokverma03

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch Which is the best motor for big outdoor iron cooler 18" for fast and more air??

  • @ankit.dagur01
    @ankit.dagur014 жыл бұрын

    1) motor chalane par kafi garam ho rahi hai 2 ) motor Mai tester se current dikha Raha hai ( shayad short hai) 3) fan freely ghum Raha hai ... Kya problem ho sakti hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai agar motor fit karne ke garm ho raha hai to use achhe se fit kare aur agar apne aap adhik garm ho raha hai to bush change karde Aur agar motor me current aa raha hai to multimeter se check kare agar current motor se hi aa raha hai to andar wire body pe shot ho chuka hai to uske liye aapko motor ko kholkar repair karna hoga

  • @ankit.dagur01

    @ankit.dagur01

    4 жыл бұрын

    Thank you 😊

  • @nitinmahavar4266
    @nitinmahavar42664 жыл бұрын

    Sir m aaj hi nya cooler laya ho or wo midiyam garam ho rhi hai koi dikkat to nhi hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Nahi bhai koi dikkat nahi hoga kyoki motor medium garm hona aam bat hai

  • @boneyverma9137
    @boneyverma91374 жыл бұрын

    Sir mera cooler moter suply dene par jam ho rha kya kya karn ho skta hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aisa tab hota hai jab rotor stetor ke sath gisne lagta hai aur jab ham hath se ghumate hai to free ghumta hai par jaise hi ham switch on karte hain jam ho jata hai aur rotor ka stetor ke sath gisne ka karan bush ka kharab hona ya loose fiting

  • @invisible_kishan
    @invisible_kishan4 жыл бұрын

    Hello mera coller k motor bohot bohot jyada heat ho rha h aur smell krne lg rha h kya problem h kabhi kabhi jam ho ja rha h mai bss iska use 3-4 hour krta hu

  • @pintudjelectronics6772

    @pintudjelectronics6772

    2 ай бұрын

    Bush

  • @MrLakraYt
    @MrLakraYt4 жыл бұрын

    Sir cooler ke moter me hum 5 ka capacitor laga sakte hai ya nhi

  • @shaheerkhanedits3474

    @shaheerkhanedits3474

    4 жыл бұрын

    Laga sakte ho

  • @ankushsharma4631
    @ankushsharma46313 жыл бұрын

    Sir cooler ki motor Ko bush se Badal kr bearing pr kaise kre plz help

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai jis motor me bush lagta hai usme aap Sirf bush hi change kar sakte hain aap usme bearing nahi laga sakte iska karan yah hai ki jis cooler motor me bush lagta hai uska bush lagne wala hol alag hota hai aur jis motor me bearing lagta hai uska hol size alag hota hai ok bhai

  • @htthresher7185
    @htthresher71854 жыл бұрын

    Bhai Mene pankhe ko thoda jyada mod diya h is karan to motor garam nahi ho rha

  • @chandtrehan5518
    @chandtrehan55182 жыл бұрын

    Agar check karna ho shaft rotor ko touch kar raha hai yan nahi to shaft ke oper tape laga kar fit karo aur challane jahan touch ho raha hoga wahan tape cut jaye ga.

  • @rajkumarkori7217
    @rajkumarkori72174 жыл бұрын

    Starting call me round kam hai motor Ka Kya Ho Gaya Ek Koyal mein

  • @user-zs2wy6fs1i
    @user-zs2wy6fs1i2 ай бұрын

    Moter speed capiciter se km kr sakte hai kya

  • @jitokumarsharma3364
    @jitokumarsharma33644 жыл бұрын

    कूलर मोटर चलते चलते रुक जाता है और हिट हो जाता है पूरा मोटर कैसे ठीक करेंगे वीडियो बनाकर भेजो भाई

  • @rajeshpeter9861
    @rajeshpeter98612 ай бұрын

    Over load protector laga Dene se motar safe rahega kya.

  • @seriyltv3547
    @seriyltv35473 жыл бұрын

    Bhaiya mere kular cal nhi rha h dabal fes kiya tha to use jalne ki badbu a rhi h or use calo karte h to pure ghar ki pawar cla jata h please btaye kya motar fuk gyi h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai agar cooler on karte ghar ki bijli of ho jata hai to iska matlab aapka cooler short ho chuka hai to pahle sare wire cooler ki switch board se lekar motor ki wire tak check kare kahi par fes aur nutral aapas me touch ho raha hoga agar wire kar bhi short nahi hai to aap multimiter se cooler motor ki wire ko check kare agar short rahega to bip ki aawaj aayega Fir bataye

  • @seriyltv3547

    @seriyltv3547

    3 жыл бұрын

    To vo fuki to nhi h na ye bta do bas hme tensan ho gyi h bhut usse jalne ki ghand a rhi h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai jala hai ya nahi use aap jab motor kholenge to pata chalega to aap motor ki wire ko multimiter se continuty check kare agar motor thik hoga to number batayega to check karke bataye

  • @arvindvishwakarma9285
    @arvindvishwakarma92854 жыл бұрын

    Cooler ke liy best motor, koun company h, Jo pure copper ho.

  • @gulzarkhan3076

    @gulzarkhan3076

    4 жыл бұрын

    Exhust fan 18 inch lgo लोहे k cooler मैं

  • @mangalsinghsidar6461
    @mangalsinghsidar64614 жыл бұрын

    Kumar moter ko kitne kitne no vayar se wanding kar sakte hai copar aur aluminum do no me bataye

  • @balveersinghsekhawat7530
    @balveersinghsekhawat75304 жыл бұрын

    Coil sort hona par garm ho sakta ha kya or coil sort hona par cooler cha sakta hai kya

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Ha bhai agar coil shot ho jata hai to motor ka resistance kam ho jata hai jisse aapka motor over hit ho sakta hai aur speed bhi kam ho sakta hai aur agar joint se ho motor shot ho jata hai to motor nahi chalega

  • @balveersinghsekhawat7530

    @balveersinghsekhawat7530

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch par bahi lamp sirij sa chak kra na par to shi bata raha ha

  • @balveersinghsekhawat7530

    @balveersinghsekhawat7530

    4 жыл бұрын

    Sapat ma. Band ho to kya ya problam ho sakti hai kya

  • @alokverma03

    @alokverma03

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch Which is the best motor for big outdoor iron cooler 18" for fast and more air??

  • @akashmudgal3490
    @akashmudgal34904 жыл бұрын

    Coolar motor k jagah ceiling fan motor lga sakte h kya?

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai cooler motor ka rotor stetor ke andar ghumta hai aur ceiling fan motor ka rotor stetor ke upar hota hai Yane ke mere bhai cooler me andar wala hissa ghumta hai aur ceiling fan me bahar wala hissa ghumta hai isliye aap cooler motor ki jagah ceiling fan motor use nahi kar sakte Aur ha bhai aap ceiling fan ki jagah cooler motor jarur use kar sakte hai thoda sa fitting jugad lagakar OK bhai

  • @akashmudgal3490

    @akashmudgal3490

    4 жыл бұрын

    Mera coolar 3 speeds p chalta h too jo 2 wire h km speed wale unpe nhi chal ra h ab ye to kya iska mtlb winding kharab ho gyi? Orr sparking b krta h 2, 3 ghante baad uska koi jugad h?

  • @alokverma03

    @alokverma03

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch Which is the best motor for big outdoor iron cooler 18" for fast and more air??

  • @abhinavraje3614
    @abhinavraje36144 жыл бұрын

    Sir mera japnix company ka toofan fan start karta hu to. 15 minutes ke liye to fast chalta h par dheere dheere speed bilkul kam ho jati h or jyada garam ho jata h or phir bilkul band ho jata h capacitor bhi change kr diya h koi fark nhi hua please.. give solution

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Ok bro Bro jab fan thodi der chalta hai uske bad dhire dhire garm hokar speed kam ho jata hai to bhai jab motor garm hota hai tab motor ka rasistens kam ho jata hai jisse speed kam ho jata hai aur aisa motor ke over hitting ke karan hota hai Aur over hitting hone ke chance tab hota hai jab motor ka fitting thik se na ho pane se rotor stetor ke sath gisne lagta hai jisse motor adhik garm hone lagta hai aur iske alawa aur bhi kai karan hai motor garm hone ke

  • @abhinavraje3614

    @abhinavraje3614

    4 жыл бұрын

    Problem solve kaise hogi

  • @saifsheikhazmi1757
    @saifsheikhazmi17574 жыл бұрын

    Bhai saab ungli hilane ki kala koi aapse sikhe

  • @WOLVES_GAMERS
    @WOLVES_GAMERS4 жыл бұрын

    Bhai app kha ke h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    जय जोहार भैय्या

  • @Balram53815
    @Balram538153 ай бұрын

    Mera coller new tha 1 sal hi gya tha Ek din voltage ⚡️ 340v kebas ps tha To chla diya 30 minute to achank motor ka speed bahut kam Ho gai hain Isme kya problem hain Capacitor ka ya coil jal gya hain Reply 🎉

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 ай бұрын

    Bahut achha sawal hai bhai bhai isme motor ki coil ka problem hai jo high voltage ke karan short ho gaya hai jise aapko coil ke tar connection ko khol kar repair karna hoga

  • @Balram53815

    @Balram53815

    3 ай бұрын

    @@mechanicalsearch ok To coil repair krna hoga Fir bhi agar coil change krwa degen to Phle jaisa speed nHi rhta Dukan wale bahut mistak krta hai

  • @riyusharmaa
    @riyusharmaa4 жыл бұрын

    Hello bhai mere cooler me exhaust motor fan h Par uska plug bhot jyada heat hota h aur motor bhi thodi heat hoti hai Kya problem hogi aur kya karu

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aise me aapko plug change karna chahiye bhai purana hone ke sath plug ka tar andar se kala ho jata hai aur jab plug ke tar par load hota hai to heat hone lagta hai

  • @riyusharmaa

    @riyusharmaa

    4 жыл бұрын

    Plug K sath wire bhi change krni hogi Ya sirf plug change karu

  • @alokverma03

    @alokverma03

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch Which is the best motor for big outdoor iron cooler 18" for fast and more air??

  • @Irshad151
    @Irshad1513 ай бұрын

    ❤❤

  • @aksl0007
    @aksl000711 ай бұрын

    sir ek kaaran or hota hai....... mere ghar mein ek bara plastic ka cooler hai jismay 18 inch ki motor lagi huvi hai..... and single speed ki hai..... par mainay us pe regulator laga diya tha kyuki motor fan ki speed bahut tej hoti thi to usay kam karnay k liyey. ...jab raat hoti thi to uski speed kam kardeta tha..... par kuch time baad vo burn ho gayi.... to mainay mechnaic ko dikhaya or usko btyaa ki main motor ko regulator k saath use karta hu..... to usnay btyaa ki kam speed karnay ya regulator lagnay se motor pe load aa jata hai or vo jaldi burn ho jaati hai.... app usay full speed pe use karo...... sir kya muje multi speed vaali motor lene paregi jismay 3 -4 tarah ki speed hoti hai or kahi (3-4 tarah ki) wire hoti hai jissay usmay regulator na lagna paray or uska apna 3 speed waal knob se speed change ho jaayi... plz guide

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    11 ай бұрын

    Bhai pahle to mai aapka tahe dil se dhanyavaad karta hu jo aapne apna samay nikal kar itna bada comment kiya To bhai aapka kahna sahi hai aap 3 speed wala motor le sakte hai Lekin bhai 3 speed motor me bhi fake motor aata hai jisme alag alag kalar ka 4 wire hota hai lekin wah 3 speed motor nahi hota wah singal speed ka hi hota hai Aur is topic par hamare channel par aapko ek video mil jayega aap pahle us video ko jarur dekhe Aap hamare channel ke playlist "cooler motor repair" Me jakar check kar sakte hain

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    11 ай бұрын

    Aur rahi bat motor garam hone ka karan regulator lanane se to ho sakta hai aisa ho sakta hai Lekin mai pichhle 3 year se apne cooler me bada wala regulator us kar rahu hu abhi tak koi problem nahi aaya Lekin ab mai aapki baton par thoda gaur karke dekhunga agar yah garm hone ka karan banta hai to aane wale samay me is topic par video jarur banaunga

  • @fullgamingfreefire3450
    @fullgamingfreefire34504 жыл бұрын

    Bhai local table fan mere pas hai me rewinding Kiya hu fiting me problem hora ha hai smell araha ha qqqq new bhos satp bhi dala huu

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai s. Smell Aa raha hai to aapka fan ka motor over hit ho raha hai to aap fitting thik se kare ho sakta hai motor ka rotor stetor ke sath ghis raha hoga

  • @fullgamingfreefire3450

    @fullgamingfreefire3450

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch Bhai mene AP jaise bole waise Kiya tho bhi bhot heat ho Raha hai

  • @2153Annu.
    @2153Annu.3 жыл бұрын

    single speed motor garam kyon hoti hai...? new wind kiya hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai nut ko thoda dhila karke motor ko achhe se set kijiye aur is bat ka dhyan rakhe ki rotor motor ke stetor ke sath thoda sa bhi touch na ho raha ho

  • @sonusultan1704
    @sonusultan17043 жыл бұрын

    Sir mene mabhani wind kiyaa tha to vo 10 mint ke baad hi gram hona shuru ho jaata he or 20 mint me bohut jyada gram ho jaata he rotor bodi se tch nhi he kyaa karn ho skta he

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai jab ham motor ka repair karte hain to motor repair to ho jata hai aur uske bad jab ham motor ko fiting karte hain to waha par koi na koi galti ho hi jata hai jiske karan se motor overhit ya jaam hone lagta hai to bhai motor fiting proper tarike se kaise karte hain is topic par jald hi ek video bana dunga kyoki yah problem kai bhai logo ke sath hota hai To firhal aap motor ko khol kar achhe se sahi tarah se fit kare rotor stetor ke sath jara bhi tuch na ho is bat ka dhyan rahe

  • @sonusultan1704

    @sonusultan1704

    3 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch sir I don't like with your suggestions 😢

  • @sonusultan1704

    @sonusultan1704

    3 жыл бұрын

    Kyonki sir uska rotor bhi smuth he ro bush bhi ok he or uski starting bhi ok he or 6 se 7 mint tak jra bhi gram nhi hoti uske bad 10 se 12 mint tk bhut jyada gram ho jaata he please help me sir

  • @devkaransharwa175
    @devkaransharwa1754 жыл бұрын

    Sir moter ka only rotar over heat ho Raha hai wo Puri tarah se ghis Chuka hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai rotor ghis raha hai to aap bush change kare ya motor ko achhe se set kare क्योंकि rotor jab stetor ke sath touch hota hai to motor overhit hone lagta hai

  • @devkaransharwa175

    @devkaransharwa175

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch OK Bhai thank you

  • @made_in_memes_0124
    @made_in_memes_01244 жыл бұрын

    Kya Karan hoga

  • @dineshkishnawat552
    @dineshkishnawat5524 жыл бұрын

    सर जी मेरा कूलर इन्वर्टर में बहुत तेज चलता है ।और लाइट आने पर धीरे। पर प्रॉब्लम यह है कि यह गर्म ज्यादा होकर आज बंद हो गई क्या प्रॉब्लम है

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai आप अपने inverter मे कितना वोल्ट suply आ रहा है उसे multimiter से check करे और रही बात मोटर गरम होकर बंद होने की तो इसमे दो प्रॉब्लम्स हो सकता है पहला आपके मोटर का coil जल गया होगा या तार ओपन हो गया होगा जहा पर मोटर के तार को joint करके धागे से बंधा हुआ रहता है वहाँ पर और यही प्रॉब्लम होने के ज्यादा चांस है इसके लिए आपको मोटर को ओपन करना होगा और continuity check करना होगा फिर आप बताईये गा

  • @merajali7577
    @merajali75774 жыл бұрын

    Sar hamara farata fan hit hora h

  • @omprakash-cs8xp
    @omprakash-cs8xp4 жыл бұрын

    Sir ji maine cooller on kiya kuch der sahi chala uske bd motor se jalne k smell aaya aur speed km ho gya aur phir kuch der bad band ho gya uske wire se dhuwa nikal rha tha kya kru sir..???

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai motor ka coil jal gaya hoga ya motor ke andar jaha par wire joint huwa rahta hai waha par jal gaya hoga aap kholkar check kare fir bataye

  • @omprakash-cs8xp

    @omprakash-cs8xp

    4 жыл бұрын

    Check kiya 2 coil jal gya hai

  • @alokverma03

    @alokverma03

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch Which is the best motor for big outdoor iron cooler 18" for fast and more air??

  • @rakeshmuthyala4229
    @rakeshmuthyala42294 жыл бұрын

    Sir ji mera naya cooler motor 21 days ke bad ghoomthe ghoomthe band ho gaya. Burning ka smell aya tha. Ab motor bilkul nahi chal raha hai. kya kare? please reply

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai sabse pahle aap apne cooler ke sabhi wire check kare kahi par loose to nahi hai agar sab thik hai to problem aapke motor ke andar hai ab ya to coil jala hoga ya motor ka wire jaha par joint kiya gaya hota hai waha par jala hoga iske liye aapko multimeter ya seiris bulb se continuity check karna padega to pata chal jayega

  • @BalbirSingh-xk3ys
    @BalbirSingh-xk3ys4 жыл бұрын

    Bush bhi change KR diya aaj fir bhi sir motor Garam ho rahi hai aur badbu a rahi hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    To bhai motor ka setup (fitting) thik hai ki nahi check kare rotor ko hath se ghuma ghumakar dekhe ki kahi rotor stetor ke sath ghis to nahi raha hai Aur dusra problem yah ho sakta hai ki aapka motor ka resistance kam ho gaya hoga aur aisa tab hota hai jab coil purana ho jata hai ya hit hokar pak jata hai tab

  • @er.akshaybadgujar7742
    @er.akshaybadgujar77424 жыл бұрын

    Sir ji Maine mere cooler motor ko open Kiya tha uska bearing change Kiya.. assemble karne k bad heat Ho rahi hai bahot...or coil jalne ki gandh aati hai aisa q...what problem sir ji...

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aap pahle yah shyor kare ki bearing sahi jagah par fix huwa hai ki nahi agar bearing sahi tarah se nahi fit hoga to motor ki roter stetor ke sath gisne lagta hai jisse motor adhik garm hone lagta hai aur lagarar heat hote rahne se coil jalne ke chance bad jata hai

  • @er.akshaybadgujar7742

    @er.akshaybadgujar7742

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch ok sir ji Mai fir se check karta Hu ... capacitor ko leke Kuch problem ho sakta hai kya q ki Mera motor k capacitor kharab hua hai..thoda..

  • @RajSingh-cn2dk
    @RajSingh-cn2dk4 жыл бұрын

    Sir cooler dhere chl rha h + smell aa rhi h jalne ki Kya dikkt h sir ...

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai pahle aap capacitor change karke dekhe agar problem solve Nahi hota hai to fir bataye

  • @asmatak3783
    @asmatak37833 жыл бұрын

    Hello sir,mne 2 din phle cooler thik krwaya tha,to pump, on off switch aur (regulater ka switch hta diya) (fan motar ki 4 wire hai) to. Usme shot ho gha tha,pump.chalna band ho gya tha,mgr pump. Thik he, fir fan motor me se dhuaa nikla aur garm. Ho gyi, to. Iski kya problem hui he please🙏 help

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Motor se dhuwa nikla hai to bhai aapke cooler motor ki coil jal gaya hoga to aap motor ko bahar nikal kar multimiter ya seirise board se check karke dekh sakte hai

  • @electricalrepairingshop1774
    @electricalrepairingshop1774 Жыл бұрын

    Rotor q overheating problem bataiye

  • @MANOJSHARMAcitymansharma
    @MANOJSHARMAcitymansharma4 жыл бұрын

    Bhai aapke cooler motor ke 2 video dekh liye per meri problem nahi mili. Chalu karne ke baad 20 minutes badiya chalta hai. Fir ek sound aane lagti hai Or fan ki speed down ho jaati hai. Sound bahut kharab aati hai ghar ghar ki

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai agar aisa hai to aapka motor jaldi se overhit ho raha hoga Aur overhit hone ke alag alag karan ho sakte hai to aap to aap yah check kare ki kahi rotor stetor ke sath touch to nahi ho raha hai Ya aapka motor purana ho chuka hoga

  • @BALWANSINGH-hb5mc
    @BALWANSINGH-hb5mc4 жыл бұрын

    👌

  • @apurbasarkar6010

    @apurbasarkar6010

    4 жыл бұрын

    Table fan ka over heaf honeka karan bataea

  • @mohammadaftabalam4708
    @mohammadaftabalam47084 жыл бұрын

    Bearing waala cooler hai. Garam hokar jaam ho jaata hai Kya karen bush nahi hai bearing hain

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aap aisa kare motor ko kholkar bearing me greesing karke dekhe agar tab bhi problem solve nahi hota hai to aap bearing change kardo

  • @mohammadaftabalam4708

    @mohammadaftabalam4708

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch but bearing sahi hai phir kyun jaam ho raha hai

  • @AswinSK-zu4lu
    @AswinSK-zu4lu3 жыл бұрын

    My tower fan moter is so over heated after 5 minutes and smell how to repair it

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai is topic par hamare channel ke playlist "air cooler and fan " me aapko video mil jayega jisme over heat hone ke karan bataya gaya hai Aur dusri bat Kya aapne motor ko repair karne ke liye open kiye the?

  • @Shaileshshivne
    @Shaileshshivne4 жыл бұрын

    Apki ek ada badi achhi lagti zat se vali

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Thank you so much bro

  • @sjshakya890
    @sjshakya8903 жыл бұрын

    Sir winding karne ke BAAD or fitting b Sahi h pr fir b heat ho Raha h motor or jyada Der tk chalane pr motor se smell aati h Kya reason ho Sakta h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai jaise ki aapne wanding karaye aur fiting bhi thik hai to Kya aapne bush ko change kiya hai?

  • @sjshakya890

    @sjshakya890

    3 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch sir bush to change Kiya h fir b heat kr Raha h

  • @RaghvendraSingh-yk2sk
    @RaghvendraSingh-yk2sk4 жыл бұрын

    Mera cooler moter fain hath se ghumane k bad chal rha hi aur garam bhi ho rha hi kyao

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aap pahle capacitor change karke dekhe agar problem solve nahi hota hai to aapka motor jaldi se overhit ho raha hoga jisse motor garam hota hai aur speed kam ho jata hai to aap motor ki bush ko check karke dekhe kharab yane ki ghis to nahi gaya hai aur yah bhi chek kare ki kahi motor ka rotor stetor ke sath touch to nahi ho raha hai

  • @OmPrakash-nb9kb
    @OmPrakash-nb9kb4 жыл бұрын

    Guru G mera cooler motar 15 ,20min chal kr slow hote hote ruk ja rha h or garam v bahut jyada ho ja rha h Ander se jalne ki gandh v aa rhe hai abhi Kuch din pahle uska banding karwaye hai coopar banding hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aaoka motor over hit hone lagta hai aur adhik garam hone par coil ka tar aapas me short hone lagta hai aur rasistens bhi kam ho jata hai jis karan se motor band ho jata hai ya speed kam ho jata hai To इस topic par hamara agla video aane wala hai So wait and watch

  • @2153Annu.
    @2153Annu.4 жыл бұрын

    agar motor new wind kiya hai to kitne mfd ka capacitor lgana chahiye....?

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai agar Aapke cooler motor bush wala hai to aapko 4mfd Ka capacitor lagna hai aur yadi aapka motor bearing wala hai to aap 5mfd Ka capacitor laga sakte hai

  • @yashgupta2653
    @yashgupta26534 жыл бұрын

    Mere cooler ki motor vo nyi motor h ek dum vo motor kafi garam ho jati h kya reason ho skta h 10 min kke bad h gram hojati h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aap video me Jo Karan bataya Gaya hai use follow Karke dekhe Aur motor garam hone Ka jyadatar Karan motor Ka Jo rotor hota hai uska stator ke sath touch hona to aap rotor rod ko halke hatho se ghumakar dekhe ghisne ki aawaj to Nahi aa Raha hai

  • @yashgupta2653

    @yashgupta2653

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch nhi arhi h awaj krke dekh liya vaise bhi nyi motor h cooler h 9inch ka aur capicitor motor h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai waise to motor normal rup se garam hota hi hai agar akdam se jyada garam ho Raha hai to aage dikkat ho Sakta hai to aap aise kijiye cooler ko aadhe ghante chalaye aur Uske bad cooler ko band Karke motor ko hath se chhukar dekhe ki Kitna garam ho Raha hai aur Ghar me dusra cooler hoga to use bhi aadhe ghante chalaye aur dono me tulna kare ki garam kisme jyada ho Raha hai ya dono barabar hai

  • @SunilKumar-ij7ss
    @SunilKumar-ij7ss4 жыл бұрын

    Bhai mama motor ko badhvaya tha to vo gram ho rha h

  • @TeddyDJ
    @TeddyDJ2 жыл бұрын

    Sir cooler motor heat ho raha hai Electrician ko bataya usne bush change kiye par vapis same problem ho raha hai ,15 min bad vapis band ho ja raha hai . Aab kya Karen?please help

  • @TeddyDJ

    @TeddyDJ

    2 жыл бұрын

    Sir cooler motor aur cooler ke pankhe ko paint kar diya tha Kya is Karan vars heat ho sakta hai?

  • @reshmaparvezkhanreshmaparv6726
    @reshmaparvezkhanreshmaparv67262 жыл бұрын

    Bhai mere coolar ek mahine me do baar motor kharab ho gai jal jati h ab teesri baar bhi yahi problem samajh aa rahi small aa rahi aor chalte chalte thoda silo ho ja raha h kiya kare bhai plz reply

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 жыл бұрын

    Bhai jab motor jal jaye to uska rewinding karne ke sath bush shaft bhu change karna padta hai agar shaft aur bush purana ho to Aur Abbi aapka motor me smell aa raha hai to beshak aapka motor overhiting ho raha hai to aap yah pata kare ki shaft aur bush ghisa huwa ya kharab to nahi ho chuka hai

  • @Round2hell_New_Videos
    @Round2hell_New_Videos4 жыл бұрын

    Sir humara cooler mter bhout gram ho rha h maine bush bi chnge kr dia hai pr phir bi bhout garm ho rha h wo

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai bush chenge kar diya to motor ka fiting thik se nahi huwa hoga ya coil ka resistance kam ho gaya hoga aap multimeter se check karke dekhe kitna value bata raha hai

  • @Round2hell_New_Videos

    @Round2hell_New_Videos

    4 жыл бұрын

    Or Jb maine uski sabar meh momilal laya to gram hone se smell krnai lga wo sir tell me kia kru? meh jisse moter gram nh ho jyda

  • @Round2hell_New_Videos

    @Round2hell_New_Videos

    4 жыл бұрын

    Sir And moter ko fix krnai ke baad Hath se khichne pr aghe Ajati h Uski soft To kia Usme Gap hota h isme?

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Ha bhai sapt ko khichne par kam se kam 1mm ka gap hona jaruri hai tabhi rotor achhe se fit hota hai aur achhe se chalta hai

  • @Round2hell_New_Videos

    @Round2hell_New_Videos

    4 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch uski fiting krnai try kru bhai

  • @S.khan.123
    @S.khan.1232 жыл бұрын

    Mera cooler liye abhi 2 ghante hui aur pehle plug khrab fir change Kiya to 2 hour bad uska fan chalna band Amell a rhi thi ,pump chal rha h

  • @alokverma03
    @alokverma034 жыл бұрын

    Which is the best motor for big outdoor iron cooler 18" for fast and more air??

  • @AshishVerma-ud6ri
    @AshishVerma-ud6ri4 жыл бұрын

    पत्ती बदल दी है वो थोड़ी सी बड़ी है क्या ये वजह हो सकती है

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Nahi blade badlne से यह प्रॉब्लम नहीं होता

  • @gokuljoshi3394
    @gokuljoshi3394 Жыл бұрын

    Bina pump ke coolar bilkul sahi chal rha hai or jaise hi paani ka pump on kro to kbhi kbhi chingari si aati he ek aawaj hoke or taar jalne ki mehak lekin phir bhi paani ka pump on hi rha to bhi chlta rhta hai ye kya problem ho sakti kya koi bta skta hai pls

  • @paramanandchandawarkar2046
    @paramanandchandawarkar20467 ай бұрын

    भाई साहब 🙏 मेरे फेनका लोखंडका कोर सेरिज लेंप टेस्ट मे हि गरम होता है वाईंडींग मल्टीमीटर पे सही दिखा रही है ! सेरीज लेंप भी ठीक दिखा रहा है ,फिर लोखंडका कोर जिसमे वाईंडींग फिट कियी जाती है वो गरम क्योंहो रहा है ? सब वाईंडींग टेस्ट करते करते आयर्न कोर गरम होता है ! जरा ईसका उपाय बताईये ,क्या करें? आपके जवाबका ईंतजार करता हुं !🙏 0:18

  • @disendrakumbhkar140
    @disendrakumbhkar1404 жыл бұрын

    Sir cooler motor sab theek hone ke bavjud bhi jada Garam Kyon Ho Raha Hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai waise to motor normal rup se garm hota hi hai aur agar sima se bahar over hit ho raha hai to Kuchh na kuchh kamiyA hota hai motor me To aap video me bataye gaye karan ko follow karke dekhe

  • @disendrakumbhkar140

    @disendrakumbhkar140

    4 жыл бұрын

    Cooler motor to bilkul free Gum rah hai Uske bavjud bhi Jyada hit ho raha hai

  • @punjabikuudi
    @punjabikuudi2 ай бұрын

    Abhi new towr fan lia smell oilin ki aarahi hai reply kro

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 ай бұрын

    Bhai aap yah pata kre ki smell ke sath sath motor bhi jyada heat to nahi ho raha hai

  • @punjabikuudi

    @punjabikuudi

    2 ай бұрын

    @@mechanicalsearch abi kal raat hi lia hai moter heat toh hai tower fan ka

  • @ashishkewat1967
    @ashishkewat19673 жыл бұрын

    Sar mera colar bahot garm hota hay fir Band Karna padta hay pils jankari de

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai kya motor jyada garm hone se pahle aapne motor ko repair karne ke liye khola tha?

  • @ashishkewat1967

    @ashishkewat1967

    3 жыл бұрын

    Pahle bahot accha chalta tha fir AK bar jal gaya to banbaya uske Bad garm hona laga

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai agar Jalne ke bad repair kiya gaya hai aur uske bad se garm ho raha hai to iska yah ho sakta hai ki coil heat hokar pak jata hai jis karan se motor ka resistance kam ho jata hai yane ki jyada megnate Nahi bana pata jis karan se motor over hit hone lagta hai to bhai achha hoga aap motor ko wanding Kara Le

  • @hkushwaha4790
    @hkushwaha479011 ай бұрын

    😊

  • @bkkisan8524
    @bkkisan85244 жыл бұрын

    Sir apka KZread channel Monotiga hai

  • @Uttarakhandi.Ghaprol
    @Uttarakhandi.Ghaprol4 жыл бұрын

    Sir motor gram bhi ho rahi hai or Sir motor Garam bhi ho rahi hai aur badbu bhi bhut a rahi hai

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai motor garam ho raha hai to aap yah check kare ki rotor stetor ke sath ghis to nahi raha hai agar motor ko hath se ghumane par khat khat ki aawaj aa rahi hai to aapko bush change kar dena chahiye

  • @BalbirSingh-xk3ys

    @BalbirSingh-xk3ys

    4 жыл бұрын

    bush bhi change KR diya hai aaj fir bhi vo problem a rahi hai Garma ho rahi hai or badbu bhi a rahi hai

  • @abhinav1626
    @abhinav16264 жыл бұрын

    Cooler ke fan ko hath se force karte h to chalne lagta h, par apni original speed se nhi chal raha h Capacitor change kiya Phir be nhi vessa he h solve Karona mera problem...

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai aap hamare channel par आए hai to aapka problems jarur solve hoga bhai aap aisa kijiye maine abhi kuch din pahle hi ek video banaya tha "cooler motor jam hone ke 5 karan" aap chahe to hamare channel par jakar ye wala video dekh sakte hai Aur bhai aapka cooler fan hath se ghumane par free ghum raha hai aur on karne par jaam ho rahi hai to aap pahle motor ko kholkar achhe se oil ya greesing karke dekhe agar thik nahi hota hai to aapka motor ka bush ghis kar kharab ho gaya hoga

  • @abhinav1626

    @abhinav1626

    4 жыл бұрын

    Sir Hath se gumane pe free gumta h Or Mene oiling or Giresh ka us kiya h sir Phir be result vahi h Current dene pe hillta h par chalta nhi h Hath lagate h chalne lagta h Par original speed pe nhi chalta h Or sir without capacitor pe me be yehi problem h Cooler Naya h... Lock down me sab band h Please sir

  • @alamsonu8795

    @alamsonu8795

    4 жыл бұрын

    bhai sam problem meri b...moter free he par hath se chalani padti he..or kuch der bad speed kam ho jati he or moter bohat garam plz help

  • @alamsonu8795

    @alamsonu8795

    4 жыл бұрын

    or bhai capistor ki wire mene check ki multimeter se kuch b nhi aaraha jese aapka aaya 244

  • @abhinav1626

    @abhinav1626

    4 жыл бұрын

    To apka kahi ek current chhod raha h

  • @pushpakgaikwad
    @pushpakgaikwad2 жыл бұрын

    sir my motor making noise and also heating. kya kare sir

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 жыл бұрын

    Bhai kahi aisa To Nahi aapka cooler vibration ho raha ho jis karan se sound aa raha hoga aur vibration ke karan motor garam ho raha ho To bhai aap check Kare vibration to nahi ho raha hai

  • @pushpakgaikwad

    @pushpakgaikwad

    2 жыл бұрын

    @@mechanicalsearch sir vibration ki vajah se toh nahi heat hora hai. aur kya reason ho sakta hai. aur ha motor 2 saal purana hai. avaj bhi karta hai.

  • @cgrkvlog
    @cgrkvlog Жыл бұрын

    मेरा सॉफ्ट गरम हो रहा है कृपया कारण बताएं मैंने बूश चेंज करवाया है

  • @mahendarsingh8530
    @mahendarsingh85302 жыл бұрын

    Cooler kuch samay chalane ke baad ruk jata hai but switch off karne ke baad bilkul free chalta hai kya reason ho sakta hai please answer reply

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 жыл бұрын

    Bhai pahle aap yah check kare ki kya motor band hone par jyada garm ho gaya hota hai?

  • @ShahidHussain-yw3dd
    @ShahidHussain-yw3dd3 жыл бұрын

    Ik baat btaye mere cooler motor gu gu bol rhi hai or 4wire vi thik fr kyu ni chl rhi

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    3 жыл бұрын

    Bhai Kya aisa problem apne aap se ho raha hai ya aapne motor ko kisi karan se open kiye the aur fitting karne ke bad aisa problem aa raha hai bataye

  • @fififzhhx2749
    @fififzhhx27492 жыл бұрын

    Mene coller moter winding ki to vo jyada hi grm kyo hori 2minit m duaa niklne lag yaaye asa kyo hora kuch smj nhi aarhi

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 жыл бұрын

    Bhai ho sakta hai aapne wanding data sahi se na dala ho ya aisa bhi ho sakta hai aapne wanding to kar liya but bush sapt change na kiya ho

  • @r.celectronic8892
    @r.celectronic88924 жыл бұрын

    Sir waning karne के baad gram hoke jal jata h

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Nahi bhai wanding karne ke bad suruaat me hitting problems bahut kam hoti hai Aur ha agar wanding karne ke bad fiting thik se nahi huwa aur rotor stetor ke sath ghis raha hota to is condition me motor hit hokar jal sakta hai

  • @deepakdhillon3261
    @deepakdhillon32614 жыл бұрын

    😀😀😀😀

  • @kalithekedar5498
    @kalithekedar54983 жыл бұрын

    1.15

  • @gauravrathorgauravrathor8349
    @gauravrathorgauravrathor83494 жыл бұрын

    Motar garm hokar jam hota he

  • @sagargujjar2550
    @sagargujjar25503 жыл бұрын

    Motor garam ho to cooler Chala skte. Hai ya nhe

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 жыл бұрын

    Chala sakte hai par usse motor agar kai dino tak jyada garam hota raha to cool jalne ke chance rahega

  • @rajeshvarma2279
    @rajeshvarma22794 жыл бұрын

    Motor heat ho Kar band ho jarha

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Bhai pahle aapko motor ki hiting problem ko thik karna hoga jaisa ki video me bataya gaya hai uske bad aapka motor band nahi hoga

  • @vinaylahare3655
    @vinaylahare36552 жыл бұрын

    Cooler ke pankha wala rad garm ho jata hai jisse panka dhila ho jata hai.

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    2 жыл бұрын

    Bhai agar aapne motor ko khole the aur motor ko fit karne ke bad aisa problem aa raha hai to aap motor ko sahi se fitting kare Aur yadi apne aap aisa problem aa raha hai to aap shaft aur bush ko change kare

  • @AshishVerma-ud6ri
    @AshishVerma-ud6ri4 жыл бұрын

    क्या कैपिसिटर खराब होने पर मोटर गर्म हो सकता है

  • @jaynarayan423

    @jaynarayan423

    Жыл бұрын

    Han

  • @shaikrafiq5496
    @shaikrafiq54964 жыл бұрын

    Bhi Mera cooler Ka moter ghumtahi magar dhuva aatihi

  • @mechanicalsearch

    @mechanicalsearch

    4 жыл бұрын

    Motor ke wire ko aap multimeter ya seires lamp se check kare andar coil shot ho raha hoga

  • @umeshvyas7301
    @umeshvyas73013 жыл бұрын

    चारो तार सीरीज से करेंट बात रहे है लेकिन मोटर नही चल रही है

Келесі