Israel Ki Tarikh Kya hay l Yahoodi Kis Nabi Ki Qoom Hain l Third Temple Ki Tameer

Israel Ki Tarikh Kya hay
Yahoodi Kis Nabi Ki Qoom Hain
Third Temple Ki Tameer
Israel Hazrat Yaqoob A.S ka laqab tha aur apky he es laqab say Israel mashhoor howa, Israel ke muqamal tarikh ko samjhnay k leay apko Koch pichay jana paray ga.
Hazrat Ibrahim A.S jo k Allah Rab ul Izat k bejhay gay ulul Azam Nabi balkay Rasool thay. Allah nay es dunia main taqreeban ek lakh chobees hazar Ambia ko bejha hay jin main serf panch Rasool thay, eski tarikh aur tafseel main kesi aur video main beyan karun ga. En ek laskh chobees hazar main say taqreeban satar hazar Ambia Allah nau serf Bani Israel main bejhay hain. Allah nay bani Israel main apni bayshumar barkat aur rehmat nazil farmae hain magar yeah qoom har Nabi k door main ya to Nabi ko jhoothlati rahi ya apnay he Nabi ko qatal karti rahi hay.
Kahir agay barhtay hain Allah nay Hazrat Ibrahim A.S ko do betay ata farmay thay,
Hazrat Ishaq
Hazrat Ismael
Hazrat Ishaq k bethay thay Hazrat Yaqoob A.S , jin k agay geyara betay thay. En bara betun main Hazrat Yousoof A.S ko ek munfarid moqam hahil howa aur naboowat b Hazrat Yousaf A.S ko ata ki gae. Aur apko wali e Misar b bana deya gaya. Allah Rab ul Izat nay Hazrat Yousaf A.S ko hukam deya k alay Yaoob ko Misar bulaya jay. Misar ka ek bohat bara hisa alay Yaqoob A.S k leay mukhtas kiya gaya au res sar zameen main alay yaqoob k leay barkat rakhi gae. Hazrat Yasof A.S barah bhai thay es leay unkay leay pani k barah chashmay jari keay gay takay wo aram say reh pain. Es sarzameen ka naam Yaqoob A.S k laqab Israel ki munasbat say Israel par gaya aur apky ek betay Yahooda ki nasal jab agay chali to unki nasal nay Yahoodi kehlwana shuru kiya.
Waqat guzarta gaya aur Hazrat Mosa A.S ka dor aya, jab firoon nay Hazrat Moosa A.S par arsa e hayat tang karna shuru kiya to aapny Allah k hukam say misar say hijrat ki, apki qoom par Allah nay bohat se barkat aur rehmatain nazil farmae then jin main,
Manwa salwa
Machlio ki bohtat
Aur gay ki qurbani ka waqia chamil hay, yeah wohi gay hay jiso ajkal yahoodi reh heifer keh kar puqar rahay hain, jabkay es waqia k Quran e kareem main tafseel say zikar mojood hay. Quran btata hay k wo gehray zard rang ki gay thay magar yahoodio nay eski surakh rang samjg rakha hay aur ajkal baray zoro shoor say eski qurbani k intizam main lagay hain.
Jab Hazrat Daood A.S ka door aya to apnay apnay waqat k ek zalim badsha jaloot ho hara k us say Allah ki taraf say bejha gaya Taboot k jisay Taboot E Sakina b kaha jata hay wo dubara hasil kiya, yeah ek muqadas taboot hay jo Allah nay Hazrat Adam A.S ko ata kiya tha es main bohat say Allah k raz hain , Hazrat Dawood A.S nay eski hifazat k leay ek heqal ki tamer shuru ki , jo k uni zendgi main tamer na ho saka bad aza apky betay Hazrat Suleman A.S nay es hekal ko jinat ki madad say tamer karwaya magar es doran apki b wafat ho gae. Esi waja say esy hekal e Sulemani kaha jata hay bad azan Babul k badsha bakht nasar nay Israel par hamla kiya aur hekal e Sulemani ko gera deya aur taboot e sakina b apnay sath lay gaya. Waqat guzarta raha aur Syprus the Great ka dor aya , Sypurs the great nay yahoodio ko dubara isreal main abad kiya aur hekal e sulemani ko b tamer karwaya aur taboot e sakina ko b dubara hasil kiya.
Ab waqat mazeed guzarta raha aur Hazrat Isa A.S ki bina Baap k wiladat hoe yeah Allah Rab Ul Izat ka mojza tha jisay yahoodio nay manay say inqar kar deya aur yaha say bani Israel mazeed taqseem ka shikqar howay yahi Yahoodi aur Isae.
Yahoodio nay sazish kar k Hazrat Isa A.S ko shaheed karna chaha magar Allah Rab Ul Izat nay apnay qamal e Rhmat say apko zinda asmano par utha lia aura b ap qurbay qyamat main Allah k hukam say dunia main dubara tashreef lain gay. Eskay bad yahoodio aur isaio main bohat sari jangain hoen. Es isae badsha Titas nay Yoroshalam par es shidat say hamla kiya k waha apna qabza mazboot kar lia, heqal e sulemani ko gera deya bas uski ek dewar baki rahi jaha ajj b yahoodi ibadat kartay hain au resay dewar e gerya kehtay hain. Taboot e Sakina b esky bad say gaib ho gaya. Eskay bad yahoodi akhri Nabi k intezar karnay lagay jinka zikar na serf toreet balkay Injeel main b mojod tha. Ab Nabi E akhiro Zaman ki Weladat ba Sadat Hazrat Ibrahim A.S k betay Hazrat Ismael A.S k ulad main hoe. Yahoodio nay Nabi Kareem S.E.W.W ko b manay say inqar kar deya aur dewar e gir k qareeb ajj b ibadat kartay hain au res intizar main nay k akhi msaeha ay aur wo teesri dafa heqal e sulemani tamer karain gay aur phi say ek dafa puri dunia par unki haqoomat ho ge.
Apnay en maqasad ko muqamal karnay k leay wo apni pori koshesh main lagay hain eski leay uno nay falastine k qareeb Koch zameen par qabza kiya aur isaio k sath saz baz kar k ek elehda mulak bana liya jisay ajj Israel kaha jata hay.
home
www.blogger.com/blog/posts/69...
/ ali.syed.7359
/ syedali1109

Пікірлер

    Келесі