Golra Sharif || Mehfil E Sama

Kalam: Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Ke Roye
Kalaam Written By : Saif Ud Din Saif
#qawwali #peernaseerudinnaseerpoetry #sufi #sufikalam #sufipoetry
Lyrics
Meri Daastan-e Hasrat wo suna suna ke Roye
Mujhe Aazmaane waale Mujhe aazmaa ke ro-e
Meri Aarzoo ki Duniya Dil e Naa-tawaañ ki Hasrat
Jise kho ke Shadmaañ the Use aaj paa ke ro-e
Teri Be-wafaayiyoñ par, Teri Kaj-Adaayiyoñ par
Kabhi Sar jhuka ke ro-e, Kabhi Muñh Chhupa ke ro-e
Koi aisa Ahl-e-Dil ho, ke Fasaana-e Mohabbat
Maiñ Use suna ke Ro-ūñ, wo Mujhe suna ke Ro-e
Jo sunaayi Anjuman meñ Shab-e Gham ki Aap beeti
Kayi ro ke Muskura-e, Kayi Muskura ke roe
Mujhe Aazmaane waale Mujhe aazmaa ke ro-e
Meri Daastan-e Hasrat wo suna suna ke Roye
Aaa..
Mere paas se Guzar kar, Mera Haal tak na poochha
Mere paas se Guzar kar..
Guzar gaye Wo Nigaah-e karam bachaay hue
Hum is Ummeed me baithe the Koi pehchaane
Mere paas se Guzar kar, Mera Haal tak na poochha
Main ye kaise maan jaauñ ke Wo Door jaa ke roe
Aaa…
Baith jaata hooñ jahañ chha-oñ Ghani hoti hai
Haye! Kya Cheez ghareeb-ul-Watani hoti hai
Main hooñ be-watan musafir, Mera Naam Be-basi hai
Mera koi bhi nahi haI, jo Gale laga ke roe
Aaa….
Kahiñ SAIF Raaste mein Wo mileñ to unse kahna
Maiñ udaas hooñ Akela, Mere paas aa ke ro-e

Пікірлер

    Келесі